Skip to main content

Posts

Showing posts from December, 2025

“Jo Allah chahe woh hokar rehta hai.”

 - ---------- Bhiwandi  ka Safar ya Baseerat ka Safar Jab “Mā shā’ Allāhu kān” ke raaz khulte hain ✍️ Qalam se: Mufti Muhammad Suheb Usmani Qasmi ⸻ 🌙 Muqaddima: Jab naqis hazri ilm ka aaghaz ban jaye Baaz mulaqatein kitaabon ke safaḥat nahi hotin, balkeh dil ke waraq ban jaati hain. Jo aaj ki maadi daur mein taqrīban “Impossible” sa lagta hai, woh ek faqeer ki zindagi mein yun mumkin hua ke murshid ki shafqat ne sawari ka bahaana banaya aur ma‘rifat ka darwaza khol diya. Is hafte, is faqeer ki  Bhiwandi hazri apne murshid muhtaram ki khidmat mein hui. Hazrat ne kamaal-e-shafqat se apni do paiye ki sawari (scooter) par is kam ilm ko bithaya, aur apne khaas muta‘alliq Janab Bhai Usama Sahib ki teemardari (visiting the sick) ke liye tashreef le gaye. Wahan bistar-e-‘ilalat ke qareeb, guftagu ke dauran jab insani zu‘f (human weakness) aur mujahidana ‘ajz (spiritual humility) ka zikr aaya, to Hazrat ne aasmani khazane ka ek darwaza khola aur ye du‘a zaban-e-mubarak se ada far...