1. Maan baap ke saath achchha sulook karo, aur rishtedaaron, yateemon, miskeenon, qareeb waale padoosi, door waale padoosi, paas baithhne (ya khade rehne) waale shakhs, musaafir aur apne gulaam baandiyon ke saath bhi (achchha bartaao karo). (Sura-e-Nisa: 36) ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 2. Takabbur karne waala aur bad akhlaaq Jannat mein daakhil nahin hoga. (Abu Daaood: 4801) ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 3. Tum mein sab se achchhe woh log hain, jo apni biwiyon ke saath achchha bartaao karte hai. (Tirmizi: 1162) ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 4. Aadmi ke jhoota hone ke liye yahi kaafi hai ke woh jo kuchh sune (bila tahqeeq) use bayaan karta phire. (Muslim: 7) ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 5. Jo shakhs (kisi ke liye) koi achchhi sifaarish karta hai us ko us mein se hissa...