1.
Maan baap ke saath achchha sulook karo, aur rishtedaaron, yateemon, miskeenon, qareeb waale padoosi, door waale padoosi, paas baithhne (ya khade rehne) waale shakhs, musaafir aur apne gulaam baandiyon ke saath bhi (achchha bartaao karo).
(Sura-e-Nisa: 36)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
2.
Takabbur karne waala aur bad akhlaaq Jannat mein daakhil nahin hoga.
(Abu Daaood: 4801)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
3.
Tum mein sab se achchhe woh log hain, jo apni biwiyon ke saath achchha bartaao karte hai.
(Tirmizi: 1162)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
4.
Aadmi ke jhoota hone ke liye yahi kaafi hai ke woh jo kuchh sune (bila tahqeeq) use bayaan karta phire.
(Muslim: 7)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
5.
Jo shakhs (kisi ke liye) koi achchhi sifaarish karta hai us ko us mein se hissa (sawaab) milta hai.
(Sura-e-Nisa: 85)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
6.
Jo jawaan bhi kisi boodhe shakhs ki us ke budhaape ki wajah se izzat karta hai, to Allah Ta'ala us jawaan ke budhaape ke waqt kisi aise shakhs ko mutayyan kar deta hai jo us ki izzat karta hai.
(Tirmizi: 2022)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
7.
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🍁 'Abdullah ibne-Busr Radiyallahu 'anhu narrates that a man said: O Rasulallah! I know that the commandments of Sharia'h are many, so please tell me the one to which I may adhere to. He replied: Your toungue should always remain busy and fresh with the Dhikr of Allah: (Tirmidhi: 3375)
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
8.
Sab se ziyaada Jannat mein le jaane waali cheez parhezgaari aur achchhe akhlaaq hain.
(Ibne Maaja:4246)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
9.
Mazdoor ko us ka paseena sookhne se pahle mazdoori de do.
(Ibne Maajah: 2443)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
10.
Sab se behtareen sadqa aapas mein sulah kara dena hai.
(Musnade Shihaab: 1280)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
11.
Aye Imaan waalo! Bahot se gumaanon se bacho, (kyun ke) baaz gumaan gunaah hote hain.
(Sura-e-Hujuraat: 12)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
12.
Apne mehmaan ke saath khaao, kyun ke woh tanha khaane mein sharm mehsoos karta hai.
(Shoabul Imaan: 9633)
13.
Agar tum neki karoge to apne hi (faaide ke) liye karoge.
(Sura-e-Bani Israail: 7)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
14.
Jab tum kisi zarooratmand aadmi ko dekho, to us ki madad karo.
(Tabraani Kabeer: 414)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
15.
Jis shakhs ne bhi momin hone ki haalat mein nek amal kiya hoga, chaahe woh mard ho ya aurat, ham us ko paakeezah zindagi basar karaaenge aur aise logon ko un ke behtareen aamaal ke mutaabiq un ka ajr zaroor ata karenge.
(Sura-e-Nahl: 97)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
16.
Allah Ta'ala ke nazdeek sab se ziyaada izzat waala banda woh hai jo badla le sakta ho phir bhi maaf kar de.
(Shoabul Imaan: 8327)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖
17.
Isi wajah se ham ne Bani Israail ko yeh farmaan likh diya tha ke jo shakhs kisi ko sharaee haq aur zameen mein fasaad ke bagair qatl kar de to goya us ne tamaam insaanon ko qatl kar diya.
(Sura-e-Maaidah: 32)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
18.
Dunyawi zindagi mein un ki rozi hum (Allah) ne hi taqseem (distribute) kar rakhi hai aur ek ko doosre par martabe ke aitebaar se fazeelat de rakhi hai, taake ek doosre se kaam leta rahe.
(Sura-e-Zukhruf: 32)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
19.
Tum apne liye, apni aulaad aur apne amwaal ke liye baddua mat karo! Kaheen qubooliyat ka waqt ho aur Allah us buddua ko qabool karle (phir tum pachhtaate raho).
(Muslim: 7705)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
20.
Logon Mein Allah Ta'ala Se Sab Se Ziyada Qareeb Woh Shakhs Hae Jo Logon Ko Salaam Karne Mein Pahel Kare.
(Abu Dawood)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
21.
Subah ka sona rizq ko rok deta hai.
(Musnade Ahmad: 530)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
22.
Jo shakhs muaamle ke galat hone ka ilm hone ke baawajood naahaq jhagda kare, woh hamesha Allah ke gazab mein rehta hai.
(Abu Daaood: 3597)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
23.
Patthar, kaanta, haddi (wagaira) ka raaste se hata dena sadqa hai.
(Tirmizi: 1956)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
24.
Salaam mein pahel karne waala takabbur se paak hai.
(Shoabul Imaan: 8786)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
25.
Momin aurton se keh do ke woh apni nigaahen neechi rakhein aur apni sharmgaahon ki hifaazat karein, aur apni zeenat ko kisi par zaahir na karein.
(Sura-e-Noor: 31)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
26.
Sab se afzal sadqa woh hai jo aise rishtedaar par kiya jaaye jis ne dil mein dushmani chhupa rakhi ho.
(Shoabul Imaan: 3427)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
27.
“If you train yourself to pardon people, your soul will relax, your heart will be tranquil and your rank will become great with Allaah and with His slaves.”
-Shaykh Ibn Baaz (Rahimahullah)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
28.
Tum (aurtein) apne gharon mein qaraar ke saath raho aur (gair mardon ko) banaao singhaar dikhaati na phiro, jaisa ke pehli jaahiliyat mein dikhaaya jaata tha.
(Sura-e-Ahzaab: 33)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
29.
Allah Ta'ala farmaata hai: Main 2 saath mil kar kaam karne waalon ke saath hota hoon jab tak ke koi saathi khayaanat na kare, jab koi ek bhi khayaanat karta hai to meri madad uthh jati hai.
(Abu Daaood: 3383)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
30.
Allah Ta'ala ke nazdeek sab se bada gunnah yeh hai ke aadmi kisi aurat se shaadi kare aur phir jab us ki zaroorat poori ho jaaye, to us ko talaaq de de aur maher bhi na de.
(Muatadrak: 2743)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
31.
Ek doosre ki geebat na karo, kya tum mein se koi yeh pasand karega ke woh apne mare huwe bhaai ka gosht khaaye? Is se to tum khud nafrat karte ho.
(Sura-e-Hujuraat: 12)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
32.
Maal kharch karo, gin gin kar na rakho, warna Allah Ta'ala bhi tum ko gin gin kar dega (phir rozi se barkat khatm ho jaayegi) aur maal ko rok kar na rakho, warna Allah Ta'ala tum se rizq ko rok lega.
(Bukhaari: 2591)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
33.
Qayaamat ke din Allah ke nazdeek sab se bada gunaah paak daaman aurat par tohmat lagaana hai.
(Mustadrak: 1447)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
34.
Prophet ﷺ said: "The life of this world is like the food of the son of Adam: no matter how much salt and spice he adds to it, let him look to how it ends up (as filth)."
● [صحيح الجامع ٢١٩٥ صحيح للألباني]
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
35.
Duniya mein is tarah raho, jaise koi ajnabi pardesi rehta hai ya raasta chalta musaafir.
(Bukhaari: 6416)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
36.
Bhoole bhatke aadmi ko sahi raasta bataana sadqa hai.
(Tirmizi: 1956)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
37.
Shaitaan to yahi chaahta hai ke sharaab aur juwe ke zariye tumhaare darmiyaan dushmani aur nafrat paida kar de, aur tumhein Allah ki yaad aur namaaz se rok de.
(Sura-e-Maaidah: 91)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
38.
Apne fursat ke waqt ki qadr karo, mashgooli aane se pehle.
(Mustadrak: 7846)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
39.
Agar koi tumhaare saath bhalaai ka muaamla kare, to tum us ko us ka badla do.
(Nasai: 2567)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
40.
Jis ki aankhein Allah ki haraam ki huwi cheezon ko dekhne se ruki rahein, woh Jahannam mein nahin jaayega.
(Attargeeb Lil Munziri: 5031)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
41.
Jo haq par rehte huwe jhagda chhod de, us ke liye Jannat ke beech mein ghar banaaya jaayega.
(Tirmizi: 1993)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
42.
Beshak Allah Ta'ala insaaf ka aur ehsaan karne ka aur rishtedaaron ko (un ke huqooq) dene ka hukm deta hai.
(Sura-e-Nahl: 90)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
43.
Aur Allah behayaai, buraai aur zulm se rokta hai, woh tumhein naseehat karta hai taake tum naseehat qubool karo.
(Sura-e-Nahl: 90)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
44.
Apne maatahaton ko aisa kaam karne ke liye mat kaho jise woh na kar sakein, lekin agar keh diya to un ki madad kar diya karo.
(Ibne Maaja: 3690)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
45.
Haakimon ke pass maalon ka muqaddama is garz se na le jaao ke logon ke maal ka koi hissa jaante boojhte hadap karne ka gunnah karo.
(Sura-e-Baqarah: 188)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
46.
Jab teen aadmi ek saath hon to do aadmi chupke chupke baat na karein, kyun ke is se teesre saathi ko takleef hogi.
(Ibne Maaja: 3775)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
47.
Aapas mein ehsaan karna mat bhoolo, jo amal bhi tum kar rahe ho, Allah yaqeenan use dekh raha hai.
(Surah-e-Baqarah: 237)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
48.
Apne Hasab-o-Nasab ko seekho (rishtedaaron ko jaano), taake tum un ke saath sila rahmi kar sako, is liye ke sila rahmi karne se rishtedaaron mein muhabbat, maal mein wus'at aur umr mein izaafa hota hai.
(Tirmizi: 1979)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
49.
“La tahzan innallaha ma’ana”
“Don’t be sad. Allah is with us.”
(Quran 9:40)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
50.
Maan baap ko gaali dena bada gunaah hai.
(Tirmizi: 1902)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
51.
Jo shakhs jhooti qasam kha kar kisi ka maal le lega, woh Allah ke saamne kodhi ho kar pesh hoga.
(Abu Daaood: 3244)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
52.
Woh shakhs Jannat mein daakhil nahin hoga jis ka padoosi us ki takleefon se mahfooz na ho.
(Muslim: 181)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
53.
To aap yateem par sakhti na kijiye aur maangne waale ko mat jhidakye.
(Sura-e-Zuha: 9,10)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
54.
Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne kabhi kisi khaadim ki pitaai nahin ki, na kisi aurat ko maara aur na hi kisi cheez ko apne haath se maara.
(Ibne Maaja: 1984)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
55.
Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam jab bachchon ke paas se guzarte to khud un bachchon ko salaam kiya karte the.
(Tirmizi: 2696)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
56.
Jis ki aankhein Allah ki haraam ki huwi cheezon ko dekhne se ruki rahein, woh Jahannam mein nahin jaayega.
(Attargeeb Lil Munziri: 5031)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
57.
Jo shakhs zulm wa ziyaadati ke taur par aisa (naahaq maal khana, qatl wa khoon) karega to ham us ko aag (Jahannam) mein daakhil karenge aur yeh baat Allah ke liye bahot aasaan hai.
(Sura-e-Nisa: 30)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
58.
Taaqat ke baawajood gussa pi jaane waale shakhs ko Allah Ta'ala qayaamat ke din tamaam makhlooq ke saamne bula kar ikhtiyaar denge ke woh jis hoor ko chaahe use apne liye pasand kar le.
(Abu Daaood: 4777)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
59.
Bhali baat keh dena aur dar guzar karna us sadqe se behtar hai jis ke baad koi takleef pohnchaai jaaye.
(Sura-e- Baqarah: 263)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
60.
(Bagair majboori) Qarz lene se bacho; is liye ke qarz raat mein ranj-o-gam aur din mein zillat wa ruswaai ka sabab hai.
(Shoabul Imaan: 5554)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
61.
Khush naseeb hai woh shakhs jo doosron se naseehat haasil kare.
(Ibne Maajah: 46)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
62.
Fuḍayl b. ‘Iyāḍ رحمه الله said: "Whoever knows well the Sunnah, the Bid'ah will reveal itself to him!"
● [حلية الأولياء ٨/٩٥]
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
63.
Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek aurat ko naseehat karte huwe farmaaya: Aisi baatein na kaho jo doosron ko sunne mein buri lage.
(Musnade Ahmad: 16701)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
64.
Jo shakhs logon ki zaroorat ke waqt mehngaai ke intezaar mein ziyaada nafa kamaane ki garz se cheezein jama kar ke rakhe to woh gunehgaar hai.
(Muslim: 4206)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
65.
Maa baap mein maa ka haq baap se ziyaada hai.
(Bukhaari: 5971)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
66.
Ek doosre se dushmani na rakho aur ek doosre se hasad na karo.
(Muslim: 6690)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
67.
Aye Imaan waalo! Jab tum kisi mutayyan muddat ke liye udhaar ka koi muaamlaa karo to use likh liya karo.
(Sura-e-Baqarah: 282)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
68.
Jab tum kisi mareez ke paas jaao, to us ko tasalli ki baat kaho, is liye ke us ke ranj wa gam ko door karna Allah ke faisle ko to nahin taal sakte lekin mareez ke dil ko zaroor khush kar deta hai.
(Tirmizi: 2087)
69.
Apne marne waalon ki achchhaiyon ko yaad kiya karo aur un ki buraaiyon ko bayaan na karo.
(Abu Daaood: 4900)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
70.
Tum mein se koi apne baayein haath se na khaaye aur na baayein haath se piye, is liye ke shaitaan apne baayein haath se khaata peeta hai.
(Muslim: 5386)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
71.
Jo shakhs kharch karne mein na kanjoosi karta hai aur na fuzool kharchi karta hai, to Allah Ta'ala us ko maaldaar bana deta hai.
(Musnade Bazzaar: 946)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
72.
Jis aadmi ne kisi se qarz liya, phir us ki niyyat qarz ada karne ki na ho (aur na hi us ne zindagi mein qarz ada kiya), to woh Allah se chor hone ki haalat mein milega.
(Ibne Maaja: 2410)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
73.
Jis shakhs ko yeh baat pasand ho ke Allah Ta'ala use qayaamat ke din ki pareshaaniyon se najaat de, to woh faqeer aur tangdast logon ko (qarz ki adaaigi mein) mohlat de ya maaf karde.
(Muslim: 4083)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
74.
(Na mahram ko dekhne waali) Har aankh zina kaar hai.
(Tirmizi: 2786)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
75.
Jo log khush haali mein bhi aur bad haali mein bhi (Allah ke liye) kharch karte hain aur jo log gusse ko pee jaane aur logon ko maaf kar dene ke aadi hain, Allah aise nek logon se muhabbat karta hai.
(Sura-e-Aale Imraan: 134)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
76.
Mubaarak hai woh shakhs jo mutwaaze (aajizi karne waala) ho, us ki kamaai achchhi wa paakeezah ho, us ka baatin (dil) nek ho, us ka zaahir shareefaana ho, log us ki buraai se mehfooz hon.
(Shoabul Imaan: 3388)
77.
Jo shakhs apne bhai ko bechi huwi cheez waapas le le, to qayaamat ke din Allah Ta'ala us ke gunaah maaf kar dega.
(Tabraani Ausat: 889)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
78.
Jab koi shakhs Allah ko raazi karne ke liye kisi yateem bachche ya bachchi ke sar par haath pherta hai, toh jitne baal par us ka haath guzarta hai, us ke har baal ke badle mein us ke liye nekiyaan likhi jaati hain.
(Musnade Ahmad: 22284)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
79.
Murdon ko gaali mat do; is liye ke is se us ke zinda rishtedaaron ko takleef pohnchegi.
(Tirmizi: 1982)
80.
Zameen mein fasaad machaane ki koshish na karo, yaqeen jaano Allah fasaad machaane waalon ko pasand nahin karta.
(Sura-e-Qasas: 77)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
81.
Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne teen martaba Allah ki qasam kha kar farmaaya: Woh aadmi (kaamil) Imaan waala nahin ho sakta, jis ka padosi us ki sharaaraton se mehfooz na ho.
(Bukhaari: 6061)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
82.
Tum mein sab se behtar woh shakhs hai jo (mohtaajon ko) khaana khilaaye.
(Musnade Ahmad: 23929)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
83.
Woh musalmaan jis ki (logon ko) maaf karne ki aadat thi, woh Jannat mein jaane ka haqdaar hai.
(Kanzul Ummaal: 7015)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
84.
Logon ko Deen sikhaao aur aasaaniyaan paida karo, dushwaariyaan paida na karo.
(Musnade Ahmad: 2136)
85.
Allah Ta'ala ne tijaarat ko halaal aur sood (interest) ko haraam qaraar diya hai.
(Sura-e-Baqarah: 275)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
86.
Tum mein se koi shakhs (bila ijazzat) apne bhaai ka saamaan na mazaaq mein le aur na hi haqeeqat mein le.
(Abu Daaood: 5003)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
87.
Aisi koi baat zabaan se na nikaalo, jis ka kal (qayaamat mein) tum ko jawaab dena pade.
(Musnade Ahmed: 23498)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
88.
Har gunaah se bacho, is liye ke gunnah ki wajah se Allah Ta'ala ka gussa naazil hota hai.
(Musnade Ahmad: 22075)
89.
Yeh bahot hi badi khayaanat (gunaah) hai ke tum apne bhai se koi jhooti baat bayaan karo, aur woh tum ko us bayaan mein sachcha samajhta ho.
(Abu Daaood: 4971)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
90.
Daawat dene waale ki daawat qabool kar lo, (hadiya dene waale ka) hadiya waapas mat karo aur (sharai wajah ke bagair) musalmaanon ko mat maaro.
(Ibne Hibbaan: 5603)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
91.
Yaqeen rakho ke jo log yateemon ka maal naahaq khaate hain, woh apne pet mein aag bhar rahe hain, aur unhein jald hi ek dahekti huwi aag mein daakhil hona hoga.
(Sura-e-Nisa: 10)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
92.
Jo shakhs (logon se) maangne ka darwaaza kholta hai, (kamaata nahin hai aur logon se maangta phirta hai) to Allah Ta'ala us par tangi ka darwaaza khol deta hai.
(Tirmizi: 2325)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
93.
Apne rishtedaaron ke saath achchha sulook karo, agarche woh tum se munh modein.
(Musnade Ahmad: 17334)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
94.
Jo shakhs tum ko mahroom kare, us ko tum do.
(Musnade Ahmad: 17334)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
95.
Jo shakhs tum par zulm kare, us ko tum maaf karo.
(Musnade Ahmad: 17334)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
96.
Maan baap ke saath achchha sulook karo, aur rishtedaaron, yateemon, miskeenon, qareeb waale padoosi, door waale padoosi, paas baithhne (ya khade rehne) waale shakhs, musaafir aur apne gulaam baandiyon ke saath bhi (achchha bartaao karo).
(Sura-e-Nisa: 36)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
97.
Jis qaum mein zina jaisi buri cheez phail jaati hai, us mein kasrat se maut hone lagti hai.
(Moatta Maalik: 1670)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
98.
Tum mein sab se achchhe woh log hain, jo apni biwiyon ke saath achchha bartaao karte hai.
(Tirmizi: 1162)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
99.
Aadmi ke jhoota hone ke liye yahi kaafi hai ke woh jo kuchh sune (bina tahqeeq) use bayaan karta phire.
(Muslim: 7)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
💯.
Jo shakhs koi achchhi sifaarish karta hai us ko us mein se hissa (sawaab) milta hai.
(Sura-e-Nisa: 85)