1. Jab tumhaare paas kisi qaum ka baaizzat aadmi aaye to tum us ka ikraam karo. (Ibne Maaja: 3712) ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 2. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek aurat ko naseehat karte huwe farmaaya: Aisi baatein na kaho jo doosron ko sunne mein buri lage. (Musnade Ahmad: 16701) ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 3. Apni peethh par lakdiyaan laad kar (bechne waala aur rozi) kamaane waala shakhs kisi ke saamne haath phailaane waale se behtar hai. (Bukhari: 2074) ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 4. Jo log apne maal Allah ke raaste mein kharch karte hain phir kharch karne ke baad na ehsaan jatlaate hain aur na koi takleef pohnchaate hain, woh apne parwardigaar ke paas apna sawaab paayenge. (Sura-e-Baqarah: 262) ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 5. Allah Ta'ala qayaamat ke din aise shakhs ko apne saaye mein jagah deinge, jis ko koi khoobsoorat aurat haraamkaari ke liye bulaaye to woh sirf Allah ke dar se door rahe. (Bukhaari: 6806) ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 6. Maan baap ko gaali dena bada gunaah hai. (Tirmizi: 1902) ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 7. Woh shakhs Jannat mein da...