(This is written in Roman Urdu language)
Jis tarha Walidain ke Huqooq, Pados ke Huqooq hote hai,
*Har Ummati Par Nabiﷺ Ke bi Bohat Huqooq hai*
Unme Se Chand Yaha Pesh kiye jate hai.
*1⃣. Imaan-bir-Rasool ﷺ*
Mere nabi Aakhiri nabi hai, Aakhirat ke khabre, Aamal ki fazeelate jo kuch pyare nabi ﷺ ne bataya, wo sabke sab 100% sach hai.
*2⃣. Muhabbat-ur-Rasool ﷺ*
Maa Baap, Biwi Bache, Dukan Makan, Duniya Akhirat Tamam cheezo se, Sab se zyada Muhabbat mujhe Mere Nabi ﷺ se hai. Bepanaah Muhabbat
*3⃣. Azmat-ur-Rasool ﷺ*
Nabi ﷺ ke Gharana, Unke Sahaba ki Azmat, Unke Shehar Madina Munawwara Aur Unke Kalam Hadees Sharif Ki Azmat, Nabi Se Taalluq rakhne wali Tamaam cheezo ki Adab o Azmat.
*4⃣. Itaat-ur-Rasool ﷺ*
Pyare Nabi ﷺ ki Jo Kuch Hadees Mere Kaano me padi, Uspar Fauran amal karne ki Jazba. Huzoor ﷺ Jin Kaamo ko Karne ko kaha Usko karna., Jin Kaamo se Mana kiya, Zindagi me Kabi uske Khareeb bi Na jana.
*5⃣. Itteba-ur-Rasool ﷺ*
Ibadat me, Akhalq me, Karobar, Rehan Sehan me, Zindagi ki Har haal me Mere Nabi Mere Role Modal hai. Sunnato ko Talash kar karke Amal.
*6⃣. Dhikr-ur-Rasool ﷺ*
Awaam ke liye 300 Martaba Aur Khawas ke liye 3000 Martaba Durood Sharif. Har Din Nabi ﷺ ke Khidmat me hamari Taraf se Tohfa Pahunchna Chahiye.
*7⃣. Fikhr-ur-Rasool ﷺ*
Ummat ka Jo Gham mere Nabi ke Seene me hai, Har Aashiq ke Dil me wo Gham hona chahiye. Kis tarha Ummat Jahannam se bache, iski Fikr.
*8⃣. Ziyarat-ur-Rasool ﷺ*
Nabi ﷺ Apne Qabr Mubarak me Zinda hai, Baar baar Madine ki Haazri, Roza-e-Aqdas ki Ziyarat.
Allah pak ham sabko Pyare Nabi ﷺ se Sachhi aur Pakki Muhabbat Ataa Farmaey.
❤ *و صلي اللّه علیٰ النبي الامي*❤
Source: received through WhatsApp message.