1. Jab tumhaare paas kisi qaum ka baaizzat aadmi aaye to tum us ka ikraam karo.
(Ibne Maaja: 3712)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
2. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek aurat ko naseehat karte huwe farmaaya: Aisi baatein na kaho jo doosron ko sunne mein buri lage.
(Musnade Ahmad: 16701)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
3. Apni peethh par lakdiyaan laad kar (bechne waala aur rozi) kamaane waala shakhs kisi ke saamne haath phailaane waale se behtar hai.
(Bukhari: 2074)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
4. Jo log apne maal Allah ke raaste mein kharch karte hain phir kharch karne ke baad na ehsaan jatlaate hain aur na koi takleef pohnchaate hain, woh apne parwardigaar ke paas apna sawaab paayenge.
(Sura-e-Baqarah: 262)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
5. Allah Ta'ala qayaamat ke din aise shakhs ko apne saaye mein jagah deinge, jis ko koi khoobsoorat aurat haraamkaari ke liye bulaaye to woh sirf Allah ke dar se door rahe.
(Bukhaari: 6806)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
6. Maan baap ko gaali dena bada gunaah hai.
(Tirmizi: 1902)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
7. Woh shakhs Jannat mein daakhil nahin hoga jis ka padoosi us ki takleefon se mahfooz na ho.
(Muslim: 181)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
8. To aap yateem par sakhti na kijiye aur maangne waale ko mat jhidakye.
(Sura-e-Zuha: 9,10)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
9. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne kabhi kisi khaadim ko nahi maara, na kisi aurat ko maara aur na hi kisi cheez ko apne haath se maara.
(Ibne Maaja: 1984)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
10. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam jab bachchon ke paas se guzarte to khud un bachchon ko salaam kiya karte the.
(Tirmizi: 2696)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
11. Jis ki aankhein Allah ki haraam ki huwi cheezon ko dekhne se ruki rahein, woh Jahannam mein nahin jaayega.
(Attargeeb Lil Munziri: 5031)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
12. Jo shakhs zulm wa ziyaadati ke taur par aisa (naahaq maal khana, qatl wa khoon) karega to ham us ko aag (Jahannam) mein daakhil karenge aur yeh baat Allah ke liye bahot aasaan hai.
(Sura-e-Nisa: 30)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
13. Bhali baat keh dena aur dar guzar karna us sadqe se behtar hai jis ke baad koi takleef pohnchaai jaaye.
(Sura-e- Baqarah: 263)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
14. (Bagair majboori) Qarz lene se bacho; is liye ke qarz raat mein ranj-o-gam aur din mein zillat wa ruswaai ka sabab hai.
(Shoabul Imaan: 5554)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
15. Khush naseeb hai woh shakhs jo doosron se naseehat haasil kare.
(Ibne Maajah: 46)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
16. Jo shakhs apne aap ko bada samajhta hai ya takabbur ke saath akad kar chalta hai, qayaamat ke din woh Allah Ta'ala se is haal mein milega ke Allah Ta'ala us se naaraaz honge.
(Al Adabul Mufrad: 549)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
17. Allah Ta'ala Maa baap ki khidmat wa farmaanbardaari aur un ke saath achchha sulook karne ki wajah se aadmi ki umr badha (barkat) deta hai.
(Kanzul Ummaal: 45467)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
18. Gareebon se muhabbat karo aur un ke saath baithha karo.
(Mustadrak: 7947)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
19. Aye Imaan waalo! Jab tum kisi mutayyan muddat ke liye udhaar ka koi muaamlaa karo to use likh liya karo.
(Sura-e-Baqarah: 282)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
20. Jab tum kisi mareez ke paas jaao, to us ko tasalli ki baat kaho, is liye ke us ke ranj wa gam ko door karna Allah ke faisle ko to nahin taal sakte lekin mareez ke dil ko zaroor khush kar deta hai.
(Tirmizi: 2087)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
21. Jo shakhs kharch karne mein na kanjoosi karta hai aur na fuzool kharchi karta hai, to Allah Ta'ala us ko maaldaar bana deta hai.
(Musnade Bazzaar: 946)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
22. Jis aadmi ne kisi se qarz liya, phir us ki niyyat qarz ada karne ki na ho (aur na hi us ne zindagi mein qarz ada kiya), to woh Allah se chor hone ki haalat mein milega.
(Ibne Maaja: 2410)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
23. Jis shakhs ko yeh baat pasand ho ke Allah Ta'ala use qayaamat ke din ki pareshaaniyon se najaat de, to woh faqeer aur tangdast logon ko (qarz ki adaaigi mein) mohlat de ya maaf karde.
(Muslim: 4083)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
24. (Na mahram ko dekhne waali) Har aankh zina kaar hai.
(Tirmizi: 2786)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
25. Jo log khush haali mein bhi aur bad haali mein bhi (Allah ke liye) kharch karte hain aur jo log gusse ko pee jaane aur logon ko maaf kar dene ke aadi hain, Allah aise nek logon se muhabbat karta hai.
(Sura-e-Aale Imraan: 134)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
26. Mubaarak hai woh shakhs jo mutwaaze (aajizi karne waala) ho, us ki kamaai achchhi wa paakeezah ho, us ka baatin (dil) nek ho, us ka zaahir shareefaana ho, log us ki buraai se mehfooz hon.
(Shoabul Imaan: 3388)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
27. Jo shakhs apne bhai ko bechi huwi cheez waapas le le, to qayaamat ke din Allah Ta'ala us ke gunaah maaf kar dega.
(Tabraani Ausat: 889)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
28. Jab koi shakhs Allah ko raazi karne ke liye kisi yateem bachche ya bachchi ke sar par haath pherta hai, toh jitne baal par us ka haath guzarta hai, us ke har baal ke badle mein us ke liye nekiyaan likhi jaati hain.
(Musnade Ahmad: 22284)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
29. Murdon ko gaali mat do; is liye ke is se us ke zinda rishtedaaron ko takleef pohnchegi.
(Tirmizi: 1982)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
30. Zameen mein fasaad machaane ki koshish na karo, yaqeen jaano Allah fasaad machaane waalon ko pasand nahin karta.
(Sura-e-Qasas: 77)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
31. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne teen martaba Allah ki qasam kha kar farmaaya: Woh aadmi (kaamil) Imaan waala nahin ho sakta, jis ka padosi us ki sharaaraton se mehfooz na ho.
(Bukhaari: 6061)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
32. Tum mein sab se behtar woh shakhs hai jo (mohtaajon ko) khaana khilaaye.
(Musnade Ahmad: 23929)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
33. Woh musalmaan jis ki (logon ko) maaf karne ki aadat thi, woh Jannat mein jaane ka haqdaar hai.
(Kanzul Ummaal: 7015)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
34. Logon ko Deen sikhaao aur aasaaniyaan paida karo, dushwaariyaan paida na karo.
(Musnade Ahmad: 2136)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
35. Allah Ta'ala ne tijaarat ko halaal aur sood (interest) ko haraam qaraar diya hai.
(Sura-e-Baqarah: 275)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
36. Yateemon ka maal apne maal ke saath mila kar mat khaao, beshak yeh bada gunaah hai.
(Sura-e-Nisa: 2)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖
37. Aisi koi baat zabaan se na nikaalo, jis ka kal (qayaamat mein) tum ko jawaab dena pade.
(Musnade Ahmed: 23498)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
38. Har gunaah se bacho, is liye ke gunnah ki wajah se Allah Ta'ala ka gussa naazil hota hai.
(Musnade Ahmad: 22075)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
39. Yeh bahot hi badi khayaanat (gunaah) hai ke tum apne bhai se koi jhooti baat bayaan karo, aur woh tum ko us bayaan mein sachcha samajhta ho.
(Abu Daaood: 4971)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
40. Daawat dene waale ki daawat qabool kar lo, (hadiya dene waale ka) hadiya waapas mat karo aur (sharai wajah ke bagair) musalmaanon ko mat maaro.
(Ibne Hibbaan: 5603)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
41. Yaqeen rakho ke jo log yateemon ka maal naahaq khaate hain, woh apne pet mein aag bhar rahe hain, aur unhein jald hi ek dahekti huwi aag mein daakhil hona hoga.
(Sura-e-Nisa: 10)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
42. Jo shakhs (logon se) maangne ka darwaaza kholta hai, (kamaata nahin hai aur logon se maangta phirta hai) to Allah Ta'ala us par tangi ka darwaaza khol deta hai.
(Tirmizi: 2325)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
43. Apne rishtedaaron ke saath achchha sulook karo, agarche woh tum se munh modein.
(Musnade Ahmad: 17334)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
44. Jo shakhs tum ko mahroom kare, us ko tum do.
(Musnade Ahmad: 17334)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
45. Jo shakhs tum par zulm kare, us ko tum maaf karo.
(Musnade Ahmad: 17334)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
46. Maan baap ke saath achchha sulook karo, aur rishtedaaron, yateemon, miskeenon, qareeb waale padoosi, door waale padoosi, paas baithhne (ya khade rehne) waale shakhs, musaafir aur apne gulaam baandiyon ke saath bhi (achchha bartaao karo).
(Sura-e-Nisa: 36)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
47. Takabbur karne waala aur bad akhlaaq Jannat mein daakhil nahin hoga.
(Abu Daaood: 4801)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
48. Jis qaum mein zina jaisi buri cheez phail jaati hai, us mein kasrat se maut hone lagti hai.
(Moatta Maalik: 1670)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
49. Tum mein sab se ache woh log hain, jo apni biwiyon ke saath acha bartaao karte hai.
(Tirmizi: 1162)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
50. Aadmi ke jhoota hone ke liye yahi kaafi hai ke woh jo kuchh sune (bila tahqeeq) use bayaan karta phire.
(Muslim: 7)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
51. Jo shakhs koi achchhi sifaarish karta hai us ko us mein se hissa (sawaab) milta hai.
(Sura-e-Nisa: 85)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
52. Jo shakhs koi buri sifaarish karta hai use us buraai se hissa (gunnah) milta hai aur Allah har cheez par nazar rakhne waala hai.
(Sura-e-Nisa: 85)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
53. Tum mein behtareen shakhs woh hai jis se log bhalaai ki ummeed karein aur us ke shar se mehfooz hon.
(Tirmizi: 2263)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
54. Tum mein bad tareen shakhs woh hai jis se log bhalaai ki ummeed na karein aur us ke shar se mehfooz na hon.
(Tirmizi: 2263)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
55. Jo jawaan bhi kisi boodhe shakhs ki us ke budhaape ki wajah se izzat karta hai, to Allah Ta'ala us jawaan ke budhaape ke waqt kisi aise shakhs ko mutayyan kar deta hai jo us ki izzat karta hai.
(Tirmizi: 2022)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
56. Agar kisi ne tumhaare paas koi cheez amaanat rakhi to (maangne par) us ko amaanat waapas kar do.
(Abu Daaood: 3535)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
57. Aapas mein ek doosre ka maal na haq tareeqon se na khaao.
(Sura-e-Baqarah: 188)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
58. Jo bandha kisi ko (badla lene par qudrat ke baawajood) maaf kar deta hai, Allah is ke badle us ki izzat badha deta hai.
(Muslim: 6757)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
59. Hamesha sach bolo, chaahe us mein nuqsaan nazar aaye, kyun ke sachchaai mein najaat hai.
(Makaarimul Akhlaaq: 137)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
60.
3 cheezein aadmi ko halaak karne waali hain:
1) Nafs ki khwaahishaat par chalna,
2) Laalach wa kanjoosi ko aadat bana lena,
3) Aadmi ka khud ko behtar samajhna, aur yeh aadat in teenon mein bad tareen aadat hai.
(Shoabul Imaan: 7252)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
61. (Islaam mein behtareen cheez yeh hai ke) Tum (logon ko) khaana khilaao, aur har ek ko salaam karo, jis ko tum pehchaante ho aur jis ko tum nahin jaante.
(Bukhaari: 6236)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
62. (Musalmaano!) Jab tum logon ke darmiyaan faisla karo to insaaf ke saath faisla karo.
(Sura-e-Nisa: 58)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
63. Jis shakhs mein amaanatdaari nahin, us mein Imaan nahin.
(Shoabul Imaan: 4354)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
64. (Qayaamat ke din momin ki) Taraazu mein achchhe akhlaaq se bhaari koi cheez na hogi.
(Abu Daaood: 4799)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
65. Pahelwaan woh nahin hai jo saamne waale ko pachhaad de, balke pahelwaan haqeeqat mein woh hai jo gusse ke waqt apne nafs (khud) par qaabu rakhe.
(Bukhaari: 6114)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
66. Tum aapas mein ek doosre se bugz wa dushmani na rakho aur na hi hasad karo.
(Bukhaari: 6065)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
67. Baap ke saath husne sulook ka aala darja yeh hai ke us ki wafaat ke baad us ke milne julne waalon ke saath achchha sulook kare.
(Muslim: 6679)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
68. Apni zabaan par qaabu rakho, (fursat ke auqaat mein) apne ghar mein raho, apne gunaahon par Allah ke saamne roya karo.
(Tirmizi: 2406)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
69. Allah ki nazar mein sab se achchha ghar woh hai jis mein koi yateem izzat ke saath rehta ho.
(Tabraani kabeer: 13434)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
70. Tum sab mein mujhe ziyaada muhabbat us shakhs se hai jis ke akhlaaq ziyaada achchhe hain.
(Bukhaari: 3759)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
71. Khaao aur piyo aur fuzool kharchi na karo, yaad rakho ke Allah fuzool kharch logon ko pasand nahin karta.
(Sura-e-Aaraaf: 31)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
72. Jis shakhs mein ahad ki paabandi nahin, us mein Deen nahin.
(Shoabul Imaan: 4354)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
73. Woh shakhs Jannat mein nahin jaayega, jis ke dil mein zarra baraabar bhi takabbur hoga.
(Muslim: 275)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
74. Jo Shakhs tawaazu (aajizi) ikhtiyaar karta hai, Allah Ta'ala us ko izzat wa sarbulandi ata karta hai.
(Musnade Bazzaar: 946)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
75. Jab tum mein se kisi ko gussa aaye aur woh khada ho to baithh jaaye, baithhne se gussa chala jaaye to thheek, warna us ko chaahiye ke let jaaye.
(Abu Daaood: 4782)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
76. Agar koi shakhs galati ya gunaah kare, phir us ka ilzaam kisi be gunaah ke oopar lagaade, to woh bada bhaari bohtaan aur khule gunaah ka bohj apne oopar laad leta hai.
(Sura-e-Nisa: 112)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
77. Jab Allah Ta'ala kisi ghar waalon ke liye bhalaai ka iraada farmaate hain, to un mein narmi paida farma dete hain.
(Musnade Ahmad: 24427)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
78. Chugalkhor Jannat mein daakhil nahin hoga.
(Muslim: 303)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
79. Tum sharaab hargiz mat piyo, is liye ke sharaab tamaam buraaiyon ki jad hai.
(Musnade Ahmad: 22128)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
80. Neki achchhe akhlaaq ka naam hai aur gunaah woh hai jo tere dil mein khatke aur tujhe achchha na lage ke logon ko us ki khabar ho.
(Muslim: 6680)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
81. Neki aur taqwa (ke kaamon) mein ek doosre ki madad karo.
(Sura-e-Maaidah: 2)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
82. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne khaane mein kabhi bhi aib nahin lagaaya; agar chaahte to us ko kha lete aur agar naapsand hota to chhod dete.
(Bukhaari: 5409)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
83. Allah Ta'ala us bande par raham farmaaye jo bechne, khareedne aur qarz wusool karne mein narmi ka muaamla kare.
(Bukhaari: 2076)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
84. Jis ne doosron ki koi aisi baat chhup kar suni jis ko woh us se chhupaana chaahte the, to qayaamat ke din aise shakhs ke kaan mein seesa pighla kar daala jaayega.
(Tirmizi: 1751)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
85. Jo shakhs logon ka shukriya ada na kare, woh Allah ka bhi shukr ada karne waala nahin ho sakta.
(Tirmizi: 1954)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
86. Duniya me jo 2 rukha (munaafiq) hoga, qayaamat ke din us ke munh mein aag ki 2 zabaanein hongi.
(Abu Daaood: 4873)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
87. Gunaah aur zulm mein kisi ki madad na karo aur Allah se darte raho, beshak Allah ka azaab bada sakht hai.
(Sura-e-Maaidah: 2)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
88. Allah Ta'ala gaali galooch karne waale, be hayaai ki baat karne waale aur baazaar mein cheekh-o-pukaar karne waalon ko pasand nahin farmaata hai.
(Al Adabul Mufrad: 310)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
89. Jis ne pahaad se ludhak kar khudkushi ki hogi, woh Jahannam mein hamesha hamesh ludhakta rahega.
(Bukhaari: 5778)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
90. Salaam ko khoob phailaao tum salaamat rahoge aur itraana (akadna) bahot buri aadat hai.
(Musnade Ahmad: 18530)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
91. Ziyaada mat hasa karo, is liye ke ziyaada hasi dil ko murda kar deti hai.
(Tirmizi: 2305)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
92. Agar faisla karo to logon ke darmiyaan insaaf ke saath faisla karo, yaqeenan Allah Ta'ala insaaf karne waalon se muhabbat karte hain.
(Sura-e-Maaida: 42)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
93. Koi mard kisi ajnabi aurat ke saath tanhaai mein na baithhe warna un mein teesra shaitaan hota hai.
(Tirmizi: 2165)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
94. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko jab chheenk aati, to haath ya kapde se chehra-e-anwar ko dhaank lete aur aawaaz ko past karte the.
(Tirmizi: 2745)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
95. Aye Imaan waalo! Muaahadon ko poora karo.
(Sura-e-Maaidah: 1)
[03/11, 10:24 AM] Abdur Rahman Bpet:
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
96. Jis shakhs ki maut is haal mein aaye ke us mein 3 cheezein:
1) Takkabbur
2) Khayaanat
3) aur Qarz
na ho, to woh Jannat mein daakhil hoga.
(Tirmizi: 1572)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
97. Waalidain ki naafarmaani ke alaawa jis gunnah ki sazaa ko Allah chaahe to qayaamat ke din tak moakhkhar kar deta hai, magar waalidain ki naafarmaani ki saza maut se pehle duniya hi mein chakha deta hai.
(Mustadrak: 7263)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
98. Jis ne dhaardaar cheez se khudkushi ki hogi, to us ke haath mein woh cheez hogi aur woh Jahannam mein hamesha hamesha use apne pet mein ghonpta rahega.
(Bukhaari: 5778)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
99. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne (ek martaba ek sahaabi ko) apni zabaane mubaarak pakad kar farmaaya ke mujhe sab se ziyaada khatra is (zabaan) se hai.
(Tirmizi: 2410)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
100. Tum mein se kisi ke sar mein lohe ki keel thhonk diya jaana is se behtar hai ke woh kisi (ajnabi) aurat ko chhue jo us ke liye halaal nahin hai.
(Tabraani Kabeer: 486)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
#SharingIsAwesome
Source: Received through WhatsApp message on daily basis. Compiled and published by 'kind teacher' blog.