_* Ek Shakhs Ne Khubsurat Mehal Ki Taraf Dekhte Huwe Apne Dost Se Kaha..._
_"Ke Jab In Logon Ki Qismat Me Daulat Ki Taqseem Likkhi Ja Rahi Thi,
_To Hum Kahan The,?_
_Dusra Dost Use Pakad Kar Hospital Le Gaya,_
_Aur Bimaaron Ki Taraf Ishara Karte Huwe Kaha,_
_"Ke Jab In Logo Ki Qismat Me_ _Musibat Aur Bimari Likkhi Ja Rahi Thi,_
_To Us Waqt Hum Kahan The?_
_* Sochne Ki Baat Hai Aaj Hum_ _Dusro Ki Ne'mate Dekh Kar Hasad karte hai,_
_Lekin Dusro Ki Bimariya Dekh Kar_ _Hum Kabhi Allah Ka Shukar Ada Nahi Karte Hain,_
_Ke Ya Allah Tera Shukar aur Ehsaan Hai,_
_Ke Tune Mujhe Is Bimaari Se Mahfooz Rakhkha._
_*Hamesha Sabr se kaam lo aur Shukar ada Karte Raho,_
_Kyun Ke,_
_Yeh Do Chezein Bahut Badi Ne'mate Hain._
_* Hayaa ( Sharam ) emaan ki pehchan hi_
_* Allaah k khauf se Rona Dil Ko Roshan Karta Hai._
_* Walidain Ki Khidmat Dono Jahan Me Kaam Aati Hai.
_* Aulaad Ke Liye Jo Cheez Ghar Lao_
_To Pehle_
_Ladki Ko Do, Fir Ladke Ko._
_* Duniya Me Sab Se Ziyada Khatarnaak, Jawaani Ka Gussa Hai.
_* Kisi Ka Dil Mat Dukhao, Kyun Ke Tum Bhi Dil Rakhte Ho.
_* koi acchi baat Bolna Chaandi Ki Tarah He Aur_
_Buri baato se rokna Sona (Gold) Ki Tarah Hai.
_* Musalmaan bhai Se Milte Waqt Muskurana Sadqa Hai.
_* Gunaah Se Bachna Sab Se Badi neik hai.
_* Hamesha Sach Bolo Taake Tumhe kisi k aagae sharminda na hona pade.
_1. Janwar main Aqal aur farishtey main Khwahish nai hoti magr Insan main dono hoti hain. Agar wo aqal ko daba dey toh janwar aur agar khwahish ko daba ley toh farishta._
_2. Insan eik dukan hai aur Zuban us ka taala. Taala khulta hai to maloom hota hai k dukan soney ki hai ya koiley ki._
_3. Insan buzdil itna hai k sotey huwe khuwab main bhi dar jata hai aur be-waqoof itna k jaagtey huwe bhi apne Allah sey nahi darta._
_4.Dunya naseeb sey milti hai aur aakhiret mehnat sey magr aaj hamari sari mehnat dunya ke liye hai aur aakhirat ko hum ne naseeb per chhor diya hai_
_Rishtedaaro, Hamari Daa'wat par koi na aye to hum naraz ho jatey hain, lekin_
_ALLAH ki taraf se humen rozana 5-martaba_
_Daa'wat hoti ha_
_Aur hum uske Ghar nahi jatey; Kya ALLAH hum se naraaz na hoga?_
Think about it.
Source: Whatsaap message