1. Jab aadmi koi baat bataate waqt idhar udhar dekhe to woh baat sunne waale ke pass (raaz aur) amaanat hai.
(Abu Daaood: 4868)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
2. Kisi par Allah ki laanat na bhejo aur na us ke gazab ki bad dua do aur na hi dozakh ki bad dua do.
(Abu Daaood: 4906)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
3. Raaste par baithhne ka haq yeh hai ke nigaah neechi rakho, salaam ka jawaab do, neki ka hukm karo aur bure kaamon se roko.
(Bukhaari: 2465)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
4. Sab se ziyaada Jannat mein le jaane waali cheez parhezgaari aur achchhe akhlaaq hain.
(Ibne Maaja:4246)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
5. Tum apni qasmon ko aapas mein fasaad daalne ka zariya na banao.
(Sura-e-Nahl: 94)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
6. Sab se ziyaada Jahannam mein le jaane waali cheez pet aur sharmgaah hai.
(Ibne Maaja: 4246)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
7. Aye Imaan waalo! Mard doosre mardon ka mazaaq na udaaein, ho sakta hai ke woh (jin ka mazaaq udaaya gaya hai) khud un se(mazaaq udaane waalon se) behtar hon.
(Sura-e-Hujuraat: 11)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
8. Logon mein achchha aadmi woh hai jise gussa der se aaye aur jaldi chala jaaye.
(Tirmizi: 2191)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
9. Sab se afzal sadqa woh hai jo aise rishtedaar par kiya jaaye jis ne dil mein dushmani chhupa rakhi ho.
(Shoabul Imaan: 3427)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
10. Naahaq faisla karne waala qaazi (Judge) Jahannam mein jaayega.
(Abu Daaood: 3573)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
11. Jis shakhs ne bhi momin hone ki haalat mein nek amal kiya hoga, chaahe woh mard ho ya aurat, ham us ko paakeezah zindagi basar karaaenge aur aise logon ko un ke behtareen aamaal ke mutaabiq un ka ajr zaroor ata karenge.
(Sura-e-Nahl: 97)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
12.
2 gunaah aise hain jin ki saza Allah Ta'ala duniya hi mein jaldi de dete hain;
1) Zulm,
2) Waalidain ki naafarmaani.
(Jaamiul Ahaadees: 583)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
13.Woh shakhs bada achchha insaan hai jo apne ilm par amal kare aur apne zaaid maal ko (mohtaajon par) kharch kare aur be faaida guftagu se ruka rahe.
(Shoabul Imaan: 3388)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
14. Yaqeenan aadmi gunaahon ki wajah se rizq se mahroom kar diya jaata hai.
(Musnade Ahmad: 22413)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
15. Agar tum log (kisi ke zulm ka) badla lo to utna hi badla lo jitni tumhaare saath ziyaadati ki gayi thi, aur agar sabr karlo to yaqeenan yeh sabr karne waalon ke haq mein bahot behtar hai.
(Sura-e-Nahl: 126)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
16. Qaabile mubaarak baad hai woh shakhs jo waalidain ka farmaanbardaar ho, Allah Ta'ala us ki umr mein barkat deta hai.
(Mustadrak: 7257)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
17. Sab se achchha aadmi woh hai jo Allah se ziyaada darne waala ho aur jo rishtedaari ko jodne waala ho.
(Shoabul Imaan: 7950)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
18. Logon mein sab se achchha woh aadmi hai jo logon ko nafa pohnchaaye.
(Shoabul Imaan: 7658)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
19. Aur un (Maan baap) ke saath muhabbat ka bartaao karte huwe un ke saamne apne aap ko aajizi se jhukaao.
(Sura-e-Bani Israail: 24)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
20. Na to tum (aise kanjoos bano ke) apne haath ko gardan se baandh kar rakho, aur na (aise fuzool kharch ke) haath ko bilkul hi khula chhod do, phir tumhen qaabile malaamat aur khaali haath ho kar baithhna pade.
(Sura-e-Bani Israail: 29)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
21.
Tum log gunaah karna chhod do, maut ke waqt tum par aasaani kar di jaayegi.
(Shoabul Imaan: 5557)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
22.
Jab koi shakhs kisi ko qarz de to woh apne qarzdaar se koi hadiya qubool na kare.
(Mishkaat: 2832)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
23.
Tum log bezabaan jaanwaron ke silsile mein Allah se daro! Un par achchhe tareeqe se aaraam se sawaari karo aur khilaao pilaao.
(Abu Daaood: 2548)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
24.
Insaan liye paakeezah tareen maal woh hai jo us ne apni mehnat se kamaaya ho.
(Abu Daaood: 3528)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
25.
Mazdoor ko us ka paseena sookhne se pahle mazdoori de do.
(Ibne Maajah: 2443)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
26.
Allah se darte raho aur apne rishtedaaron ke saath mel jol rakho.
(Shoabul Imaan: 7950)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
27.
Aap mere bandon se keh deejiye ke wahi baat kaha karein jo behtareen ho.
(Sura-e-Bani Israail: 53)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
28.
Jis qaum mein sood aam ho jaata hai, us mein paagal pan ki beemaari phail jaati hai.
(Al Kabaair Liz Zahabi: 1/16)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
29.
Qayaamat ke din Allah ke nazdeek sab se bada gunaah yateem ka maal khaana hai.
(Mustadrak: 1447)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
30.
Jo paakeeza rizq ham ne tumhein ata kiya hai, us mein se khaao aur us mein had se aage na badho, jis ke nateeje mein tum par mera gazab naazil ho jaaye.
(Sura-e-Taaha:81)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
31.
Jo qaum naahaq faisla karti hai us mein qatl wa khoonrezi aam ho jaati hai.
(Mu'atta Maalik: 1670)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
32.
Jab tum mein se kisi ko gussa aaye to use chaahiye ke khaamoshi ikhtiyaar kare.
(Musnade Ahmad: 2136)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
33.
Jo koi apne gulaam (naukar wagaira) ko zulman maarega, qayaamat ke din maalik se badla liya jaayega.
(Musnade Bazzaar: 1399)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
34.
Qarz ki adaaigi par qudrat ke baawajood taal matol karna zulm hai.
(Muslim: 4085)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
35.
Jis ne paani ka kunwaan khudwaaya aur us se kisi pyaase parinde, jin ya insaan ne paani piya, to qayaamat ke din Allah Ta'ala us ko ajr ata farmaayega.
(Sahih Ibne Khuzaima: 1292)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
36.
Jo shakhs zaroorat se ziyaada imaarat banaayega, to yeh qayaamat ke din wabaal hogi.
(Shoabul Imaan: 10710)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
37.
Faisla karne waala 2 aadmiyon ya 2 fareeqon ke darmiyaan gusse ki haalat mein faisla na kare.
(Abu Daaood: 3589)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
38.
Allah ke Rasool Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ne khade ho kar paani peene se mana farmaaya hai.
(Ibne Maajah: 3424)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
39.
(Aye Imaan waalo!) kisi ke uyoob ki talaash mein mat raho.
(Sura-e-Hujuraat: 12)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
40.
Apne mehmaan ke saath khaao, kyun ke woh tanha khaane mein sharm mehsoos karta hai.
(Shoabul Imaan: 9633)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
41.
Ta'ajjub hai us shakhs par, jo duniya haasil karne main laga huwa hai, halaanke maut us ko talaash kar rahi hai.
(Kanzul Ummaal: 43961)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
42.
Allah Ta'ala sakhi hai aur sakhaawat ko pasand karta hai.
(Tirmizi: 2799)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
43.
Meri ummat ke behtareen log woh hain ke jab un ko gussa aaye to bardaasht kar lein.
(Tabraani Ausat: 5793)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
44.
Apne kapdon ko paak rakho aur (har tarah ki) gandagi se door raho.
(Sura-e-Muddassir: 4,5)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
45.
Sab se behtareen sadqa aapas mein sulah kara dena hai.
(Musnade Shihaab: 1280)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
46.
Aye Imaan waalo! Bahot se gumaanon se bacho, (kyun ke) baaz gumaan gunaah hote hain.
(Sura-e-Hujuraat: 12)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
47.
Apni maaldaari ki qadr karo, gareebi aane se pahle.
(Mustadrak: 7846)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
48.
Jab bahot ziyaada zina hone lagega to gareebi aur mohtaajgi aam ho jaayegi.
(Shobul Imaan: 7369)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
49.
Agar tum neki karoge to apne hi (faaide ke) liye karoge.
(Sura-e-Bani Israail: 7)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
50.
Jab tum kisi zarooratmand aadmi ko dekho, to us ki madad karo.
(Tabraani Kabeer: 414)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
51.
Allah Ta'ala ke nazdeek sab se ziyaada izzat waala banda woh hai jo badla le sakta ho phir bhi maaf kar de.
(Shoabul Imaan: 8327)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
52.
Dunyawi zindagi mein un ki rozi hum (Allah) ne hi taqseem (distribute) kar rakhi hai aur ek ko doosre par martabe ke aitebaar se fazeelat de rakhi hai, taake ek doosre se kaam leta rahe.
(Sura-e-Zukhruf: 32)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
53.
Isi wajah se ham ne Bani Israail ko yeh farmaan likh diya tha ke jo shakhs kisi ko sharaee haq aur zameen mein fasaad ke bagair qatl kar de to goya us ne tamaam insaanon ko qatl kar diya.
(Sura-e-Maaidah: 32)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
54.
(Isi wajah se ham ne Bani Israail ko yeh farmaan likh diya tha ke) jis ne kisi insaan ki jaan bachaai to goya us ne tamaam insaanon ki jaan bachaai.
(Sura-e-Maaidah: 32)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
55.
Subah ka sona rizq ko rok deta hai.
(Musnade Ahmad: 530)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
56.
Jo shakhs muaamle ke galat hone ka ilm hone ke baawajood naahaq jhagda kare, woh hamesha Allah ke gazab mein rehta hai.
(Abu Daaood: 3597)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
57.
Jo shakhs muaamle ke galat hone ka ilm hone ke baawajood naahaq jhagda kare, woh hamesha Allah ke gazab mein rehta hai.
(Abu Daaood: 3597)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
58.
Salaam mein pahel karne waala takabbur se paak hai.
(Shoabul Imaan: 8786)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
59.
Jo aurat shaan aur badaai zaahir karne ke liye sone ka zewar pehnegi, use us ki wajah se azaab hoga.
(Abu Daaood: 4237)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
60.
Tumhaara apne padoosi ki biwi ke saath badkaari karna (sab se bada gunaah hai).
(Bukhaari: 6001)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
61.
Haq ke mutaabiq faisla karne waala qaazi (Judge) Jannat mein jaayega.
(Abu Daaood: 3573)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
62.
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne wazan karne waale se farmaaya ke wazan karo to jhukta tola karo.
(Tirmizi: 1305)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
63.
Momin aurton se keh do ke woh apni nigaahen neechi rakhein aur apni sharmgaahon ki hifaazat karein, aur apni zeenat ko kisi par zaahir na karein.
(Sura-e-Noor: 31)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
64.
Us aadmi mein koi bhalaai nahin, jis mein mehmaan nawaazi nahin.
(At Targeeb Lil Munziri: 3919)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
65.
Allah Ta'ala farmaata hai: Tum doosron par kharch karte raho, main tum par kharch karta rahoonga.
(Bukhaari: 5352)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
66.
Dil ka sakht hona bad naseebi ki nishaani hai.
(Targeeb Lil Munziri: 2647)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
67.
Tum aapas mein ek doosre se bugz wa dushmani na rakho aur na hi hasad karo.
(Bukhaari: 6065)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
68.
Aarzuon ka lamba hona bad naseebi ki nishaani hai.
(Targeeb Lil Munziri: 2647)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
69.
Allah Ta'ala farmaata hai: Main 2 saath mil kar kaam karne waalon ke saath hota hoon jab tak ke koi saathi khayaanat na kare, jab koi ek bhi khayaanat karta hai to meri madad uthh jati hai.
(Abu Daaood: 3383)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
70.
Allah Ta'ala ke nazdeek sab se bada gunnah yeh hai ke aadmi kisi aurat se shaadi kare aur phir jab us ki zaroorat poori ho jaaye, to us ko talaaq de de aur maher bhi na de.
(Muatadrak: 2743)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
71.
Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne aurton ko apne sar ke baal chhote kar ke sirf kandhe tak baal rakhne se mana farmaya hai.
(Kanzul Ummal: 45051)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
72.
Har ummat ke liye ek fitna hota hai aur meri ummat ka fitna maal hai.
(Tirmizi: 2336)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
73.
Ek doosre ki geebat na karo, kya tum mein se koi yeh pasand karega ke woh apne mare huwe bhaai ka gosht khaaye? Is se to tum khud nafrat karte ho.
(Sura-e-Hujuraat: 12)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
74.
Duniya mein is tarah raho, jaise koi ajnabi pardesi rehta hai ya raasta chalta musaafir.
(Bukhaari: 6416)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
75.
Bhoole bhatke aadmi ko sahi raasta bataana sadqa hai.
(Tirmizi: 1956)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
76.
Shaitaan to yahi chaahta hai ke sharaab aur juwe ke zariye tumhaare darmiyaan dushmani aur nafrat paida kar de, aur tumhein Allah ki yaad aur namaaz se rok de.
(Sura-e-Maaidah: 91)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
77.
Apne fursat ke waqt ki qadr karo, mashgooli aane se pehle.
(Mustadrak: 7846)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
78.
Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam jab bachchon ke paas se guzarte to khud un bachchon ko salaam kiya karte the.
(Tirmizi: 2696)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
79.
Jis shakhs ne naabeena (andhe) ki 40 qadam tak rehbari ki toh us ke liye Jannat waajib ho gayi.
(Tabraani Kabeer: 13322)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
80.
Jo haq par rehte huwe jhagda chhod de, us ke liye Jannat ke beech mein ghar banaaya jaayega.
(Tirmizi: 1993)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
81.
Beshak Allah Ta'ala insaaf ka aur ehsaan karne ka aur rishtedaaron ko (un ke huqooq) dene ka hukm deta hai.
(Sura-e-Nahl: 90)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
82.
Aur Allah behayaai, buraai aur zulm se rokta hai, woh tumhein naseehat karta hai taake tum naseehat qubool karo.
(Sura-e-Nahl: 90)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
83.
Jo apne bhaai ki zaroorat poori karega, Allah Ta'ala us ki zaroorat poori karega.
(Bukhaari: 2442)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
84.
Baap Jannat ke behtareen darwaazon mein se ek hai, agar tum chaaho to (naafarmaani kar ke) use zaaye kardo, ya (jaaiz kaamon mein farmaanbardaari kar ke) use mahfooz karlo.
(Tirmizi: 1900)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
85.
Apni aulaad ka ikraam karo aur unhein achchha adab sikhaao.
(Ibne Maaja: 3671)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
86.
Agar tum mein se kisi ko (khaane ki) daawat di jaaye to daawat qubool kar leni chaahiye.
(Abu Daaood: 2460)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
87.
Hamesha sach bolo, is liye ke sachchaai neki ka raasta dikhaati hai aur neki Jannat mein le jaati hai.
(Muslim: 6805)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
88.
Jhoot se bacho, is liye ke jhoot gunaah tak le jaata hai aur gunaah Jahannam tak le jaata hai.
(Muslim: 6805)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
89.
Tum mein se koi apni biwi ko is tarah na maare jis tarah se gulaam ko maara jaata hai.
(Bukhaari: 5204)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
90.
Jis tarah Allah ne tum par ehsaan kiya hai, tum bhi (doosron par) ehsaan karo.
(Sura-e-Qasas: 77)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
91.
Jis mein fahash ya sakht kalaami ho woh us ko aibdaar bana deti hai aur jis mein haya ho woh us ko khoobsoorat bana deti hai.
(Tirmizi: 1974)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
92.
Dunyawi zindagi mein un ki rozi hum (Allah) ne hi taqseem (distribute) kar rakhi hai aur ek ko doosre par martabe ke aitebaar se fazeelat de rakhi hai, taake ek doosre se kaam leta rahe.
(Sura-e-Zukhruf: 32)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
93.
Sakhi log Allah se qareeb, Jannat se qareeb, logon se qareeb hote hain, (Aur) Jahannam se door hote hain.
(Tirmizi: 1961)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
94.
Haakimon ke pass maalon ka muqaddama is garz se na le jaao ke logon ke maal ka koi hissa jaante boojhte hadap karne ka gunnah karo.
(Sura-e-Baqarah: 188)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
95.
Aye logo! Zameen ki halaal paakeezah cheezein khaao aur shaitaan ke naqshe qadam par na chalo, yaqeen jaano ke woh tumhaare liye ek khula dushman hai.
(Sura-e-Baqarah: 168)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
96.
Apne maatahaton ko aisa kaam karne ke liye mat kaho jise woh na kar sakein, lekin agar keh diya to un ki madad kar diya karo.
(Ibne Maaja: 3690)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
97.
Jab koi shakhs beemaar ki iyaadat karta hai to ek farishta aasmaan se pukaar kar kehta hai: Tum khush raho, tumhaara chalna mubaarak ho, tum ne Jannat mein ek ghar bana liya.
(Ibne Maaja: 1443)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
98.
Aapas mein ehsaan karna mat bhoolo, jo amal bhi tum kar rahe ho, Allah yaqeenan use dekh raha hai.
(Surah-e-Baqarah: 237)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
99.
Jo shakhs tumhaare saath "Khayaanat" kare to tum us ke saath "Khayaanat" na karo.
(Abu Daaood: 3535)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
100.
Apne Hasab-o-Nasab ko seekho (rishtedaaron ko jaano), taake tum un ke saath sila rahmi kar sako, is liye ke sila rahmi karne se rishtedaaron mein muhabbat, maal mein wus'at aur umr mein izaafa hota hai.
(Tirmizi: 1979)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Source: collected through WhatsApp messages.