Skip to main content

Kind words from Quran and Hadith- part 2:




1.
Jo shakhs koi buri sifaarish karta hai use us buraai se hissa (gunnah) milta hai aur Allah har cheez par nazar rakhne waala hai.
(Sura-e-Nisa: 85)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
2.
Tum mein behtareen shakhs woh hai jis se log bhalaai ki ummeed karein aur us ke shar se mehfooz hon.
(Tirmizi: 2263)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
3.
Tum mein bad tareen shakhs woh hai jis se log bhalaai ki ummeed na karein aur us ke shar se mehfooz na hon.
(Tirmizi: 2263)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
4.
Jo jawaan bhi kisi boodhe shakhs ki us ke budhaape ki wajah se izzat karta hai, to Allah Ta'ala us jawaan ke budhaape ke waqt kisi aise shakhs ko mutayyan kar deta hai jo us ki izzat karta hai.
(Tirmizi: 2022)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
5.
Tum apne kisi bhai se jhagda na karo aur na us se mazaaq karo (jis se us ko takleef ho) aur us se aisa waada na karo jis ko poora na kar sako.
(Tirmizi: 1995)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
6.
Aapas mein ek doosre ka maal na haq tareeqon se na khaao.
(Sura-e-Baqarah: 188)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
7.
Jo banda kisi ko (badla lene par qudrat ke baawajood) maaf kar deta hai, Allah is ke badle us ki izzat badha deta hai.
(Muslim: 6757)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
8.
Hamesha sach bolo, chaahe us mein nuqsaan nazar aaye, kyun ke sachchaai mein najaat hai.
(Makaarimul Akhlaaq: 137)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
9.
3 cheezein aadmi ko halaak karne waali hain:
1) Nafs ki khwaahishaat par chalna,
2) Laalach wa kanjoosi ko aadat bana lena,
3) Aadmi ka khud ko behtar samajhna, aur yeh aadat in teenon mein bad tareen aadat hai.
(Shoabul Imaan: 7252)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
10.
(Islaam mein behtareen cheez yeh hai ke) Tum (logon ko) khaana khilaao, aur har ek ko salaam karo, jis ko tum pehchaante ho aur jis ko tum nahin jaante.
(Bukhaari: 6236)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
11.
(Musalmaano!) Jab tum logon ke darmiyaan faisla karo to insaaf ke saath faisla karo.
(Sura-e-Nisa: 58)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
12.
Quran
O you who believe! If you fear Allah, He will grant you a Criterion (to judge between right and wrong), remove from you (all) evil (that may afflict) you, and forgive you: for Allah is
the Lord of grace unbounded.
(Surah Al-Anfal 8:29)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
13
Jis shakhs mein amaanatdaari nahin, us mein Imaan nahin.
(Shoabul Imaan: 4354)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
14.
(Qayaamat ke din momin ki) Taraazu mein achchhe akhlaaq se bhaari koi cheez na hogi.
(Abu Daaood: 4799)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
15.
Pahelwaan woh nahin hai jo saamne waale ko pachhaad de, balke pahelwaan haqeeqat mein woh hai jo gusse ke waqt apne nafs (khud) par qaabu rakhe.
(Bukhaari: 6114)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
16.
Jo qaum naahaq faisla karti hai us mein qatl wa khoonrezi aam ho jaati hai.
(Mu'atta Maalik: 1670)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
17.
Har ummat ke liye ek fitna hota hai aur meri ummat ka fitna maal hai.
(Tirmizi: 2336)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
18.
Tum log imaaraton mein haraam maal istemaal karne se bacho, is liye ke yeh tabaahi wa barbaadi ki buniyaad hai.
(Shoabul Imaan: 10722)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
19.
Allah ki nazar mein sab se achchha ghar woh hai jis mein koi yateem izzat ke saath rehta ho.
(Tabraani kabeer: 13434)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
20.
Tum sab mein mujhe ziyaada muhabbat us shakhs se hai jis ke akhlaaq ziyaada achchhe hain.
(Bukhaari: 3759)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
21.
Khaao aur piyo aur fuzool kharch na karo, yaad rakho ke Allah fuzool kharch logon ko pasand nahin karta.
(Sura-e-Aaraaf: 31)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
22.
Jis shakhs mein ahed ki paabandi nahin, us mein Deen nahin.
(Shoabul Imaan: 4354)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
23.
Woh shakhs Jannat mein nahin jaayega, jis ke dil mein zarra baraabar bhi takabbur hoga.
(Muslim: 275)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
24.
Jo Shakhs tawaazu (aajizi) ikhtiyaar karta hai, Allah Ta'ala us ko izzat wa sarbulandi ata karta hai.
(Musnade Bazzaar: 946)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
25.
Jab tum mein se kisi ko gussa aaye aur woh khada ho to baithh jaaye, baithhne se gussa chala jaaye to thheek, warna us ko chaahiye ke let jaaye.
(Abu Daaood: 4782)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
26.
Agar koi shakhs galati ya gunaah kare, phir us ka ilzaam kisi be gunaah ke oopar lagaade, to woh bada bhaari bohtaan aur khule gunaah ka bohj apne oopar laad leta hai.
(Sura-e-Nisa: 112)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
27.
Jab Allah Ta'ala kisi ghar waalon ke liye bhalaai ka iraada farmaate hain, to un mein narmi paida farma dete hain.
(Musnade Ahmad: 24427)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
28.
Chugalkhor Jannat mein daakhil nahin hoga.
(Muslim: 303)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
29.
Tum sharaab hargiz mat piyo, is liye ke sharaab tamaam buraaiyon ki jad hai.
(Musnade Ahmad: 22128)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
30.
Neki achchhe akhlaaq ka naam hai aur gunaah woh hai jo tere dil mein khatke aur tujhe achchha na lage ke logon ko us ki khabar ho.
(Muslim: 6680)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
31.
Neki aur taqwa (ke kaamon) mein ek doosre ki madad karo.
(Sura-e-Maaidah: 2)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
32.
Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne khaane mein kabhi bhi aib nahin lagaaya; agar chaahte to us ko kha lete aur agar naapsand hota to chhod dete.
(Bukhaari: 5409)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
33.
Allah Ta'ala us bande par raham farmaaye jo bechne, khareedne aur qarz wusool karne mein narmi ka muaamla kare.
(Bukhaari: 2076)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
34.
Jis ne doosron ki koi aisi baat chhup kar suni jis ko woh us se chhupaana chaahte the, to qayaamat ke din aise shakhs ke kaan mein seesa pighla kar daala jaayega.
(Tirmizi: 1751)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
35.
Jo shakhs logon ka shukriya ada na kare, woh Allah ka bhi shukr ada karne waala nahin ho sakta.
(Tirmizi: 1954)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
36.
Jab teen aadmi ek saath hon to do aadmi chupke chupke baat na karein, kyun ke is se teesre saathi ko takleef hogi.
(Ibne Maaja: 3775)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
37.
Gunaah aur zulm mein kisi ki madad na karo aur Allah se darte raho, beshak Allah ka azaab bada sakht hai.
(Sura-e-Maaidah: 2)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
38.
Allah Ta'ala gaali galooch karne waale, be hayaai ki baat karne waale aur baazaar mein cheekh-o-pukaar karne waalon ko pasand  nahin farmaata hai.
(Al Adabul Mufrad: 310)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
39.
Jis ne pahaad se ludhak kar khudkushi ki hogi, woh Jahannam mein hamesha hamesh ludhakta rahega.
(Bukhaari: 5778)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
40.
Salaam ko khoob phailaao tum salaamat rahoge aur itraana (akadna) bahot buri aadat hai.
(Musnade Ahmad: 18530)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
41.
Ziyaada mat hansa karo, is liye ke ziyaada hansi dil ko murda kar deti hai.
(Tirmizi: 2305)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
42.
Agar faisla karo to logon ke darmiyaan insaaf ke saath faisla karo, yaqeenan Allah Ta'ala insaaf karne waalon se muhabbat karte hain.
(Sura-e-Maaida: 42)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

43.
Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko jab chheenk aati, to haath ya kapde se chehra-e-anwar ko dhaank lete aur aawaaz ko past karte the.
(Tirmizi: 2745)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

44.
Tum (aurtein) apne gharon mein qaraar ke saath raho aur (gair mardon ko) banaao singhaar dikhaati na phiro, jaisa ke pehli jaahiliyat mein dikhaaya jaata tha.
(Sura-e-Ahzaab: 33)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

45.
Jo shakhs apni zabaan aur sharmgaah ki hifaazat ki zimmedaari le le, main us ke liye Jannat ki zimmedaari leta hoon.
(Bukhaari: 6474)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

46. 
Aye Imaan waalo! Muaahadon (Pacts) ko poora karo.
(Sura-e-Maaidah: 1)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

47.
Jis shakhs ki maut is haal mein aaye ke us mein 3 cheezein: 
1) Takkabbur
2) Khayaanat
3) aur Qarz na ho, 
to woh Jannat mein daakhil hoga.
(Tirmizi: 1572)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

48.
Waalidain ki naafarmaani ke alaawa jis gunnah ki sazaa ko Allah chaahe to qayaamat ke din tak moakhkhar kar deta hai, magar waalidain ki naafarmaani ki saza maut se pehle duniya hi mein chakha deta hai.
(Mustadrak: 7263)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

49.
Jis ne dhaardaar cheez se khudkushi ki hogi, to us ke haath mein woh cheez hogi aur woh Jahannam mein hamesha hamesh use apne pet mein ghonpta rahega.
(Bukhaari: 5778)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

50.
Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne (ek martaba ek sahaabi ko) apni zabaane mubaarak pakad kar farmaaya ke mujhe sab se ziyaada khatra is (zabaan) se hai.
(Tirmizi: 2410)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

51.
Jab tumhein koi shakhs salaam kare to tum us se bhi behtar tareeqe par salaam karo (jawaab do) ya (kam az kam) un hi alfaaza mein us ka jawaab de do.
(Sura-e-Nisa: 86)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

52.
Jis musalmaan ki 2 betiyaan hon aur woh un ke saath achchha bartaao karr jab tak woh donon us ke pass rahein, to yeh betiyaan us ko Jannat mein daakhil karaaengi.
(Ibne Maaja: 3670)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

53.
Jo koi apne gusse ko rokega, Allah Ta'ala qayaamat ke din us se apne azaab ko rokega.
(Shoabul Imaan: 8311)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

54.
Jis ki aankhein Allah ki haraam ki huwi cheezon ko dekhne se ruki rahein, woh Jahannam mein nahin jaayega.
(Attargeeb Lil Munziri: 5031)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

55.
Tum mein se kisi ke sar mein lohe ki keel thhonk diya jaana is se behtar hai ke woh kisi (ajnabi) aurat ko chhue jo us ke liye halaal nahin hai.
(Tabraani Kabeer: 486)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

56.
Raham karne waalon par Allah Ta'ala raham karta hai, tum zameen waalon par raham karo aasmaan waala (Allah) tum par raham karega.
(Abu Daaood: 4941)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

57.
Gareeb ko sadqa dena buri maut se bachaata hai.
(Shoabul Imaan: 3463)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

58.
Tum apne bhai ki museebat par khush mat huwa karo, is liye ke ho sak ta hai ke Allah Ta'ala us ki museebat khatm kar de aur tum ko us museebat mein mubtala kar de.
(Tirmizi: 2506)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

59.
Kanjoosi se bacho! Is liye ke kanjoosi ne un logon ko halaak kar diya hai jo tum se pehle the, bukhl hi ne un ko logon ka khoon bahaane aur haraam ko halaal karne par ubhaara tha.
(Muslim: 6741)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

60.
Jab koi aurat khushbu laga kar majlis (logon ke paas) se guzarti hai to woh aisi waisi hai yaani zaaniya hai.
(Tirmizi: 2786)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

61.
Tum log qaidiyon ko chhudaao, bhookon ko khaana khilaao aur beemaaron ki iyaadat karo.
(Bukhaari: 3046)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

62. 
Beshak gussa shaitaan ki taraf se hota hai, shaitaan aag se paida kiya gaya hai aur aag ko paani se bujhaaya jaata hai, lihaaza jab tum mein se kisi ko gussa aaye to us ko wuzu kar lena chaahiye.
(Abu Daaood: 4784)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

63.
Jo shakhs shohrat ke liye koi kaam karega, to Allah Ta'ala us ke (aib ko) mash'hoor kar dega.
(Bukhaari: 7152)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

64.
Allah may block a judgemental person from certain good deeds.
Sufyān al-Thawrī (r) said: I was unable to pray the night prayer for 5 months because of one sin that I had committed. He explained his sin: I saw a man crying and I said to myself: he must be showing off!.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

65.
Jab koi baat kaho to insaaf se kaam lo, chaahe muaamla apne qareebi rishtedaar hi ka ho.
(Surah-e-An'aam: 152)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

66.
Qayaamat us waqt aayegi, jab log oonchi oonchi imaaratein banaane mein aapas mein fakhr karne lagenge.
(Musnade Ahmad: 10858)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

67.
Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam is baat ko pasand nahin farmaate the ke as'haab (saathiyon) ki majlis mein khushbu lagaaye bagair tashreef le jaaein.
(Subulul Huda War Rashaad: 7/337)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

68. 
Allah Ta'ala qayaamat ke din aise shakhs ko apne saaye mein jagah deinge, jis ko koi khoobsoorat aurat haraamkaari ke liye bulaaye to woh sirf Allah ke dar se door rahe.
(Bukhaari: 6806)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

69.
Yateemon ko un ke maal de diya karo aur kharaab maal ko achchhe maal se tabdeel na kiya karo.
(Sura-e-Nisa: 2)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

70. 
Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne aurton se farmaaya ke aurtein raaston ke darmiyaan na chalein balke kinaaron par chalein.
(Abu Daaood: 5272)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

71.
Allah Ta'ala farmaate hain: Jab main duniya waalon mein se apne kisi momin bande ka koi azeez le leta hoon aur woh sabr karta hai, to us ke liye siwaaye Jannat ke mere pass koi ajr nahin hai.
(Bukhaari: 6424)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

72.
Rozaana jab Allah ke bande subah ko uthhte hain, to 2 farishte aasmaan se utarte hain; un mein se ek kehta hai: Aye Allah! (Achchhe kaamon mein) kharch karne waale ko aur maal ata farma, doosra kehta hai: Aye Allah! Maal ko rok kar rakhne waale ka maal barbaad farma.
(Bukhaari: 1442)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

73. 
Nek logon se muhabbat karna aadhi aqalmandi hai.
(Shoabul Imaan: 6568)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

74.
Achchha sawaal aadha ilm hai.
(Shoabul Imaan: 6568)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

75.
Naap tol poora poora kiya karo aur logon ko un ki cheezein kam kar ke na diya karo, aur zameen mein us ki islaah ke baad fasaad mat phelaate phiro.
(Sura-e-Araaf: 85)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

76.
Jis ne zahar kha kar khudkushi ki hogi, to us ke haath mein zahar hoga aur woh Jahannam mein hamesha hamesh use phaankta rahega.
(Bukhaari: 5778)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

77.
Munaafiq ki 3nishaaniyaan hain: 
1) Jhoot bolna, 
2) Waada khilaafi karna,
3) Amaanat mein khayaanat karna.
(Bukhaari: 33)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

78.
Aye Imaan waalo! Allah se daro aur sachche logon ke saath raha karo.
(Sura-e-Tauba: 119)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

79.
Koi mard doosre mard ka aur koi aurat doosri aurat ka satar na dekhe.
(Muslim: 794)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

80.
Insaan mein paai jaane waali sab se buri aadatein; intihaai darje ka laalach aur buzdili hai.
(Abu Daaood: 2511)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

81.
Jo shakhs rishtedaaron ka haq ada karne ke liye sadqe ka darwaaza kholta hai to Allah Ta'ala us ki daulat ko badha deta hai.
~*Musnade Ahmad: 9624*)
➖➖➖➖➖➖➖➖

82.
Kisi qaum ki dushmani tumhein (un ke saath) naainsaafi karne par na ubhaare, (balke us waqt bhi tum) insaaf se kaam lo, yahi tareeqa taqwa se ziyaada qareeb hai.
(Sura-e-Maaidah: 8)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

83.
Jab kisi ko (halal riqz ka) koi zariya mil jaaye to woh us ko (khushi se) ikhtiyaar kar le (chaahe kam hi kyun na ho).
(Ibne Maaja: 2147)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

 84.
Tum log imaaraton mein haraam maal istemaal karne se bacho, is liye ke yeh tabaahi wa barbaadi ki buniyaad hai.
(Shoabul Imaan: 10722)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

85.
3 cheezon ko waapas nahin karna chaahiye:
1) Takiya,
2) Itr,
3) Doodh.
(Tirmizi: 2790)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

86.
Aye Imaan waalo! Mard doosre mardon ka mazaaq na udaaein, ho sakta hai ke woh (jin ka mazaaq udaaya gaya hai) khud un se(mazaaq udaane waalon se) behtar hon.
(Sura-e-Hujuraat: 11)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

 87.
Agar kisi ne tumhaare paas koi cheez amaanat rakhi to (maangne par) us ko amaanat waapas kar do.
(Abu Daaood: 3535)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

88.
Tum mein se koi shakhs (bila ijazzat) apne bhaai ka saamaan na mazaaq mein le aur na hi haqeeqat mein le.
(Abu Daaood: 5003)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

 89.
Qasmon ko pukhta karne ke baad unhein mat todo.
(Sura-e-Nahl: 91)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

90.
Tum log gunaah karna chhod do,  maut ke waqt tum par aasaani kar di jaayegi.
(Shoabul Imaan : 5557)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖

91.
Jab koi shakhs kisi ko qarz de to woh apne qarzdaar se koi hadiya qubool na kare.
(Mishkaat : 2832)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖

 92.
Sab se afzal sadqa woh hai jo aise rishtedaar par kiya jaaye jis ne dil mein dushmani chhupa rakhi ho.
(Shoabul Imaan: 3427)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

93.
Tum logon ki aurton se door raho, tumhaari aurtein bhi mehfooz rahengi.
(Mustadrak: 7258)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

94.
Allah yaqeenan tawakkul karne waalon se muhabbat karta hai.
(Sura-e-Aal-e-Imraan: 159)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

95.
Jis shakhs ne apne bhai ko kisi aise gunaah par sharminda kiya jis se woh tauba kar chuka tha, to woh us waqt tak na marega jab tak ke woh us gunaah ko na kar lega.
(Tirmizi: 2505)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

96.
Achchhe akhlaaq gunaahon ke asraat ko is tarah mita dete hain, jis tarah sooraj ki garmi jame huwe shabnam ko pighla deti hai.
(Tabraani Kabeer: 10777)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

97.
Allah Ta'ala ne kuchh bandon ko logon ki zaroorat poori karne ke liye paida kiya hai, log un ke pass apni zaroorat le kar jaate hain, logon ki zaroorat poori karne waale yeh log Allah ke azaab se mehfooz rahenge.
(Tabraani Kabeer: 13334)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

98.
Aadmi ka apna bachche ko achchhe akhlaaq sikhaana ek saa (weight) sadqa karne se behtar hai.
(Tirmizi: 1951)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

99.
Momin mardon se keh do ke woh apni nigaahein neechi rakhein aur apni sharmgaahon ki hifaazat karein. Yahi un ke liye paakeezah tareen tareeqa hai.
(Sura-e-Noor: 30)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

100.
Aye logo! Allah Ta'ala se daro, aur rozi talaash karne mein neki aur parhezgaari ka tareeqa ikhtiyaar karo aur rozi milne mein kuchh der ho jaana tumhein haraam tareeqa ikhtiyaar karne par majboor na kar de.
(Shoabul Imaan: 10376)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

101.
Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne aise logon ki daawat khaane se mana farmaaya hai jo ek doosre par apni shaan oonchi dikhaane ke liye khilaate hain.
(Abu Daaood: 3754)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

102.
Jis se kisi muaamle mein mashwarah kiya jaaye, woh us mein ameen (amaanatdaar) hai, (lihaaza amaanat-daari ke saath mashwarah do).
(Tirmizi: 2822)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

103.
Jo bhi bura amal karega, woh us ki saza paayega.
(Sura-e-nisaa: 123)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

104.
Waada bhi ek tarah ka qarz hai (jis ko poora karna zaroori hai).
(Tabraani Ausat: 3513)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

105. 
Aur zameen par akad kar mat chalo, na tum zameen ko phaad sakte ho aur na pahaadon ki bulandi tak pahonch sakte ho.
(Sura-e-Bani Israail: 37)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

106.
Tum par waajib hai ke tum apni aurton ke liye achchhe tareeqe par rozi aur kapde ka intizaam karo.
(Muslim: 3009)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

107.
Tum mein sab se achchhe log woh hain jo qarz ki adaaigi ke muaamle mein achchhe hon.
(Muslim: 4195)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

108.
Jo shakhs sood ke zariye apna maal badhaata hai to us ka anjaam tang dasti hota hai.
(Ibne Maaja: 2279)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

109.
Jo shakhs chori ka maal khareede aur use maaloom ho ke woh chori ka hai, to woh us ki buraai aur gunnah mein shareek hai.
(Mustadrak: 2235)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

110.
Agar tum maaf kardo, dar guzar kardo aur bakhsh do to Allah bahot bakhshne waala, bada maherbaan hai.
(Sura-e-Tagaabun: 14)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

111.
Aurat par sab se ziyaada haq us ke shohar ka hai aur mard par sab se ziyaada haq us ki maa ka hai.
(Nasa'ee: 9148)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

112.
Jo shakhs koi aibdaar cheez us ka aib bataaye bagair bechega, woh baraabar Allah ki naaraazgi mein rahega aur malaaika us par baraabar laanat bhejte rehte hai.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

113.
Apne kapdon ko paak rakho aur (har tarah ki) gandagi se door raho.
(Sura-e-Muddassir: 4,5)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

Source: Collected through WhatsApp messages.




Popular posts from this blog

Mothers have a great role to play in shaping the characters and morals of nations:

 * *Two incidents about the loss of a pencil!* *The first case of the missing pencil:* One robber says: Once, when I was in 4th class, I lost my pencil. When I came home I told my mother about it, as a punishment she hit me and scolded me. She called me stupid, irresponsible and much more. As a result of my mother's harsh behaviour, I made up my mind that I would not go to my mother empty-handed, so I decided to steal the pencils of my classmates. The next day, I made a plan and I didn't stop stealing one or two pencils but stole the pencils of all my class fellows. At first, I used to be afraid, but with time I got confident and more fearless. After doing so for a month, I lost the thrill. Then, I decided to go to the next class. I went from one class to another, and finally I went to the school principal's room.  It was a year of practical experience in which I learned to steal both theoretically and practically and then I became a professional bandit. *The second case o

Read the articles in the light of Quran and Hadith- related to Prophet Mohammed (s.a.w), Taqwa, Tauheed, parents, children, family life etc (Links 2)

- Click the heading which you want to read more: a.  Understanding Islam b.  Quran and Hadith c.  Tauheed d.  Love towards Prophet Mohammed (s.a.w) e.  Teachings of Prophet (s.a.w) f.  Duas g.  Taqwa h.  Child is an innocent gift i.  Education j.  Respect towards each other k.  Respect your parents l.  An attitude m.  Family n.  Istigfar o.  Learning Quran p.  Ramzan q.  Sadqa r.  Dawat o Tableeg

Read the articles in the light of Quran and Hadith- related to Prophet Mohammed (s.a.w), Taqwa, Tauheed, parents, children, family life etc- (Links 1)

- Click the heading which you want to read more: a.  Understanding Islam b.  Quran and Hadith c.  Tauheed d.  Love towards Prophet Mohammed (s.a.w) e.  Teachings of Prophet (s.a.w) f.  Duas g.  Taqwa h.  Child is an innocent gift i.  Education j.  Respect towards each other k.  Respect your parents l.  An attitude m.  Family n.  Istigfar o.  Learning Quran p.  Ramzan q.  Sadqa r.  Dawat o Tableeg

'Hauna' word's use in Quran:

- There is a preschooling curriculum which is named as 'Hauna'. This word is taken from Holy Qur'an.  Below is a brief explaination about meaning of the word 'Hauna'. Hauna can be understood as 'Humble', 'Humility' 'Gentle'. Quote from the Holy Qur'an: Al-Furqaan (25:63) وَعِبَادُ الرَّحْمَٰنِ الَّذِينَ يَمْشُونَ عَلَى الْأَرْضِ هَوْنًا وَإِذَا خَاطَبَهُمُ الْجَاهِلُونَ قَالُوا سَلَامًا wa 'ibādur-raḥmānillażīna yamsyụna 'alal-arḍi haunaw wa iżā khāṭabahumul-jāhilụna qālụ salāmā اور خدا کے بندے تو وہ ہیں جو زمین پر آہستگی سے چلتے ہیں اور جب جاہل لوگ ان سے (جاہلانہ) گفتگو کرتے ہیں تو سلام کہتے ہیں English Translation: (25:63) The true servants of the Merciful One are those 78  who walk on the earth gently 79  and when the foolish ones address them, they simply say: "Peace to you"; 80 English Tafsir: Follow the number order mentioned in above translation, 78, 79,80. 78. That is, though all human beings are by birth t

Dr. Salaam Musheer - An institution-builder, he was a beacon of light for scores of social workers.

 - Dr. Salaam Musheer, noted social worker and former professor of the Bishop Cotton Women’s College in Bengaluru died this morning (May 3, 2021) after a short tenure in a hospital. He died of Covid. He was 68. He leaves behind his wife, two sons and a daughter. Millat Institutions at Kolar An institution builder, Dr. Musheer set up ‘Buzurgon Ka Ghar’ (Home for the Aged) and ‘Apna Ghar’ (a home for the children) in Kolar almost thirty years ago. He also set up Millat group of institutions in Kolar which comprise a High School, a PU college and a Degree college. He founded “Ashiyana: The Home for Children”, in Lakshmi Layout on Bannerghatta Road in Bengaluru nearly 25 years ago. It is a facility patterned after SoS village where four to five kids are assigned to a female caretaker. The building of the Ashiyana Home was dedicated in the name of Janab Ibrahim Khalilullah Khan, a leading light of the Al-Ameen Educational Society.  Apna Ghar/Millat campus entrance Lush green large kolar cam

May this Eid be a time for spiritual renewal, strengthened bonds:

 ##  Eid Mubarak: A Time for Reflection, Commitment, Sacrifice, and Humility Eid al-Fitr, a joyous celebration marking the end of Ramadan, is more than just exchanging gifts and feasting with family. It's a culmination of a month dedicated to self-improvement, a chance to reflect on the past, recommit to our values, and carry the lessons learned into the future.  1.  **Reflection: A Look Back on Ramadan** Eid is a time to appreciate the sacrifices made during Ramadan. We fasted, prayed, and practiced charity, all while confronting our weaknesses and strengthening our connection with Almighty. During Eid celebrations, let's take a moment to reflect on this journey. What did we learn about ourselves? How can we maintain the spiritual momentum gained in Ramadan? 2. **Commitment: Renewing Our Vows** Eid is a powerful reminder of the importance of commitment. We committed to fasting and prayer during Ramadan, and now we recommit to living a life guided by Islamic principles through

1001 inventions and facts from Muslim Civilization:

- Bundled with fascinating facts, 1001 Inventions & Awesome Facts from Muslim Civilization reveals ancient inventions, discoveries, and ideas that have shaped how we live today. From familiar mind games to intriguing mosaic-patterned bowls etc etc. Click this line to view the Inventions: About this document: The book is based on the belief that humankind can best move forward when people from all countries, cultures, and spiritual views work together. You may want to present the entire book to your whole class; you may use it for interstitial teaching, between subjects or in open time slots; you might have a few copies in your classroom for students to explore when they’ve completed other assignments either individually or in small groups. Source: the above document is collected through whatsapp forward.

May this Eid bring us joys unlimited. Grab the present minute and be happy:

 - The biggest teaching of Eid ul Adha is the  eradication of selfishness from us, and instilling of selflessness in us. May your life be decorated with the teachings of Eid ul Adha today and always!   Grab the present minute and be happy. Because very little is needed to make a happy life, it's all within ourselves and our way of thinking. May this Eid bring us joys unlimited, may all our wishes come true on this holy day, and may all of our families be blessed by the grace of Allah . Click here to read 300+ articles on Faith: Eid-ul-Adha is the Eid of sacrifice And the commitment to Allah's orders, May Allah bless us with the same in all circles of life, And help all amongst us, who are helpless, worried, and waiting for His Rehmat. Image Source: https://www.islamicillumination.com/blog/how-to-get-started-with-islamic-art-and-islamic-patterns Wishing you positivity and good health in abundance on this holy festival of Bakrid. May this Mubarak occasion illuminate your hea

They are your children, Amanah from Allah:

*They are your children*              🧕👲 They are not burdens, they are not your mistake, they are not your headache, they are not your empty dirt bags in which you throw your stress, negativity, rage and anger into. They are not your financial difficulties, they are not your delicate toys to break emotionally, physically and mentally. They are not your weakling to walk all over and disrespect. They are not your verbal diarrhea sink to spew curses, insults and ridicule into. They are not your bad deeds coming back to haunt you. They are not the reason to live in an abusive marriage. They are not puppets to be controlled at all times. They are not your second chance to try and live your unfulfilling life, your shattered dreams and your broken aspirations through them. They are not your enemy, your competitor, your despair, your hurdle, your set back and your full stop. They are not the reason you stop perusing your dreams, hobbies and interests. They are not their nanny