Skip to main content

100 Kind words from Quran and Hadith (Part 5):




1. Zulm se bacho! Is liye ke zulm qayaamat ke din andhera hoga.
(Muslim: 6741)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

2. Kanjoosi se bacho! Is liye ke kanjoosi ne un logon ko halaak kar diya hai jo tum se pehle the, bukhl hi ne un ko logon ka khoon bahaane aur haraam ko halaal karne par ubhaara tha.
(Muslim: 6741)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

3. Be hayaai ke kaamon ke qareeb bhi na jaao, chaahe woh be hayaai khuli huwi ho ya chhupi huwi ho.
(Sura-e-Anaam: 151)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

4. Jab koi aurat khushbu laga kar majlis (logon ke paas) se guzarti hai to woh aisi waisi hai yaani zaaniya hai.
(Tirmizi: 2786)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

5. Tum log qaidiyon ko chhudaao, bhookon ko khaana khilaao aur beemaaron ki iyaadat karo.
(Bukhaari: 3046)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

6. Patthar, kaanta, haddi (wagaira) ka raaste se hata dena sadqa hai.
(Tirmizi: 1956)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

7. Jo shakhs shohrat ke liye koi kaam karega, to Allah Ta'ala us ke (aib ko) mash'hoor kar dega.
(Bukhaari: 7152)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

8. Jab koi baat kaho to insaaf se kaam lo, chaahe muaamla apne qareebi rishtedaar hi ka ho.
(Surah-e-An'aam: 152)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

9. Qayaamat us waqt aayegi, jab log oonchi oonchi imaaratein banaane mein aapas mein fakhr karne lagenge.
(Musnade Ahmad: 10858)

10. Jab aadmi hamesha sach bolta hai aur sach bolna us ki aadat ban jaati hai to Allah ke nazdeek Siddique (sachcha) likh diya jaata hai.
(Muslim: 6805)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

11. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne sone chaandi ke bartan mein khaane peene se mana farmaaya.
(Bukhaari: 5837)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
12. Yateemon ko un ke maal de diya karo aur kharaab maal ko achchhe maal se tabdeel na kiya karo.
(Sura-e-Nisa: 2)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
13. Tum gawaahi ko mat chhupaao aur jo shakhs gawaahi ko chhupaaye, bila shubah us ka dil gunehgaar hoga aur jo amal bhi tum karte ho Allah Ta'ala use khoob jaanta hai.
(Sura-e-Baqarah: 283)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
14. Allah Ta'ala farmaate hain: Jab main duniya waalon mein se apne kisi momin bande ka koi azeez le leta hoon aur woh sabr karta hai, to us ke liye siwaaye Jannat ke mere pass koi ajr nahin hai.
(Bukhaari: 6424)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

15. Rozaana jab Allah ke bande subah ko uthhte hain, to 2 farishte aasmaan se utarte hain; un mein se ek kehta hai: Aye Allah! (Achchhe kaamon mein) kharch karne waale ko aur maal ata farma, doosra kehta hai: Aye Allah! Maal ko rok kar rakhne waale ka maal barbaad farma.
(Bukhaari: 1442)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
16. Nek logon se muhabbat karna aadhi aqalmandi hai.
(Shoabul Imaan: 6568)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
17. Achchha sawaal aadha ilm hai.
(Shoabul Imaan: 6568)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
18. Naap tol poora poora kiya karo aur logon ko un ki cheezein kam kar ke na diya karo, aur zameen mein us ki islaah ke baad fasaad mat phelaate phiro.
(Sura-e-Araaf: 85)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
19. Haq baat na maanna aur logon ko haqeer samajhna takabbur hai.
(Shoabul Imaan: 8152)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
20. Munaafiq ki 3 nishaaniyaan hain:
1) Jhoot bolna,
2) Waada khilaafi karna,
3) Amaanat mein khayaanat karna.
(Bukhaari: 33)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
21. Koi mard doosre mard ka aur koi aurat doosri aurat ka satar na dekhe.
(Muslim: 794)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
22. Insaan mein paai jaane waali sab se buri aadatein; intihaai darje ka laalach aur buzdili hai.
(Abu Daaood: 2511)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
23. Jo shakhs rishtedaaron ka haq ada karne ke liye sadqe ka darwaaza kholta hai to Allah Ta'ala us ki daulat ko badha deta hai.
(Musnade Ahmad: 9624)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
24. Neki aur taqwa (ke kaamon) mein ek doosre ki madad karo.
(Sura-e-Maaidah: 2)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
25. Allah Ta'ala ki rahmat ho us bande par jo bechne, khareedne aur apna haq wusool karne mein narmi ikhtiyaar kare.
(Bukhaari: 2076)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
26. Jo shakhs kisi tang dast maqrooz ko mohlat de ya maaf karde to Allah Ta'ala qayaamat ke din aise shakhs ko apni rahmat ke saaye mein jagah dega.
(Muslim: 7704)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
27. Allah se darte raho, Allah yaqeenan tumhaare tamaam kaamon se poori tarah baakhabar hai.
(Sura-e-Maaidah: 8)
 
28. Tum log imaaraton mein haraam maal istemaal karne se bacho, is liye ke yeh tabaahi wa barbaadi ki buniyaad hai.
(Shoabul Imaan: 10722)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
29. Jab kisi ko (halal riqz ka) koi zariya mil jaaye to woh us ko (khushi se) ikhtiyaar kar le (chaahe kam hi kyun na ho).
(Ibne Maaja: 2147)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
30.
3 cheezon ko waapas nahin karna chaahiye:
1) Takiya,
2) Itr,
3) Doodh.
(Tirmizi: 2790)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

31. Aye Imaan waalo! Mard doosre mardon ka mazaaq na udaaein, ho sakta hai ke woh (jin ka mazaaq udaaya gaya hai) khud un se(mazaaq udaane waalon se) behtar hon.
(Sura-e-Hujuraat: 11)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

32. Narrated by Sayyida Aisha (RA):
"Some Bedouin people came to the Prophet (ﷺ) and said: 'Do you kiss your children?' He said: 'Yes'. He said: 'But we, by Allah, never kiss (our children)'. The Prophet(ﷺ) said: 'What can I do if Allah has taken away mercy from you?'" (Sunan Ibn Majah)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
33. Tum achchhe akhlaaq aur khamooshi ki aadat banaalo. Qasam us zaat ki jis ke qabze mein Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ki jaan hai makhlooq ne in donon jaisi khoobiyon ko apne andar paida nahin kiya.
(Shoabul Imaan: 4941)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
34. Tum mein se koi shakhs (bila ijazzat) apne bhaai ka saamaan na mazaaq mein le aur na hi haqeeqat mein le.
(Abu Daaood: 5003)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
35. Qasmon ko pukhta karne ke baad unhein mat todo.
(Sura-e-Nahl: 91)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
36. Kanjoosi aur fuzool kharchi se bachte huwe kharch karna aadhi kamaai hai.
(Shoabul Imaan: 6568)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

37. Tanhaai bure saathi se behtar hai aur nek saathi tanhaai se behtar hai.
(Shoabul Imaan: 4993)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

38. Bhali baat sikhaana behtar hai khaamooshi se aur khaamooshi behtar hai buri baat sikhaane se.
(Shoabul Imaan: 4993)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
39. Rahman (Allah) ke bande woh hain jo zameen par aajizi se chalte hain.
(Sura-e-Furqaan: 63)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
40. Tum zulm-o-sitam karne se bacho! Is liye ke zulm-o-sitam ki saza doosri sazaaon ke muqaable mein jaldi milti hai.
(Tabraani Ausat: 5664)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
41. Gaali galoch karne waale donon shaitaan hain, jo ek doosre par bohtaan (ilzaam) lagaate hain aur jhoot bolte hain.
(Musnade Ahmad: 17483)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
42. Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne aurton ko apne sar ke baal chhote kar ke sirf kandhe tak baal rakhne se mana farmaya hai.
(Kanzul Ummal: 45051)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
43. Rishtedaari ko todne waala Jannat mein daakhil nahin hoga.
(Muslim: 6684)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
44. Tum qayaamat ke din apne aur apne baap ke naam se pukaare jaaoge, is liye achchhe naam rakha karo.
(Abu Daaood: 4948)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
45. Sab se behtareen sadqa aapas mein sulah kara dena hai.
(Musnade Shihaab: 1280)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

46. Agar tujh mein 4 cheezein hon to duniya ki kisi cheez ke na hone ka afsos nahin hona chaahiye.
1) Amaanat ki hifaazat,
2) Baat mein sachchaai,
3) Achchhi aadat,
4) Paakeezah rozi.
(Shoabul Imaan: 4801)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

47. Main aur yateem ki parwarish karne waala Jannat mein is tarah qareeb honge jaise shahaadat ki ungli aur beech waali ungli qareeb hai.
(Bukhaari: 6005)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

48. (Agar kisi se milne jaao to andar daakhil hone se pehle) 3 martaba ijaazat maango, agar ijaazat mil jaaye to thheek hai, warna waapas laut jaao.
(Muslim: 5753)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

49. Aadmi apne dost ke Deen (taur wa tareeqa aur akhlaaq) par chalta hai, is liye har ek ko gaur wa fikr karna chaahiye ke us ka milna julna kaise logon ke saath hai?
(Abu Daaood: 4833)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

50. (Musalmaano!) Yaqeenan Allah tumhein hukm deta hai ke tum amaanatein un ke haqadaaron tak pohnchaao.
(Sura-e-Nisa: 58)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

51. Apne waalidain ke saath achchha sulook karo, tumhaari aulaad bhi tumaare saath achchha sulook karegi.
(Mustadrak: 7258)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
52. Tum logon ki aurton se door raho, tumhaari aurtein bhi mehfooz rahengi.
(Mustadrak: 7258)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
53. Jis shakhs ke paas us ka musalmaan bhai galti ki maafi ke liye aaye aur woh us ke uzr ko qubool na kare, woh mere hauz par nahin pahonch sakega.
(Mustadrak: 7258)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
54. Bakheel Allah se door, Jannat se door, logon se door hota hai aur Jahannam se qareeb hota hai.
(Tirmizi: 1961)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
55. (Logon ke saath) neki karo, beshak Allah neki karne waalon se muhabbat karta hai.
(Sura-e-Baqarah: 195)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
56. Jo shakhs museebat mein pareshaan aadmi ko tasalli deta hai to us ko bhi pareshaan aadmi ki tarah sawaab milta hai.
(Tirmizi: 1073)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

57. Tum achchhi tarah baat karne aur khaana khilaane ko laazim pakdo, tumhaare liye Jannat waajib ho jaayegi.
(Mustadrak: 61)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

58. Allah ki razaamandi Maa baap ki razaamandi mein hai aur Allah ki naaraazgi maa baap ki naaraazgi mein hai.
(Tirmizi: 1899)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
59. Ek saath khaana khaao aur us par Allah ka naam le liya karo, is mein tumhaare liye barkat hogi.
(Abu Daaood: 3764)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
60. Neki aur buraai baraabar nahin hoti, is liye tum buraai ka jawaab aise tareeqe se do jo behtareen ho. Nateeja yeh hoga ke tujh mein aur jis mein dushmani thi, woh dekhte hi dekhte (tumhaara) jigri dost ban jaayega.
(Sura-e-Haa Meem Sajdah: 34)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
61. Jis se kisi muaamle mein mashwarah kiya jaaye, woh us mein ameen (amaanatdaar) hai, (lihaaza amaanat-daari ke saath mashwarah do).
(Tirmizi: 2822)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
62. Kisi naabeena ya kamzor nigaah waale ko raasta dikhaana sadqa hai.
(Tirmizi: 1956)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
63. Jab tum apne padosiyon ko yeh kehte huwe suno ke tum ne achchha kiya to yaqeenan tum ne achchha kiya.
(Moajame Ausat: 2982)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
64. Jab tum apne padosiyon ko yeh kehte huwe suno ke tum ne bura kiya to yaqeenan tum ne bura kiya.
(Moajame Ausat: 2982)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
65. Allah yaqeenan tawakkul karne waalon se muhabbat karta hai.
(Sura-e-Aal-e-Imraan: 159)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

67. Sab se ziyaada barkat waala nikaah woh hai jis mein kharcha kam se kam ho.
(Musnade Ahmad: 24529)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

68. Tum paani choos choos kar piyo aur gataagat na piyo, is ki wajah se jigar ki beemaari hoti hai.
(Sunane kubra: 15055)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

69. Jis shakhs ne apne bhai ko kisi aise gunaah par sharminda kiya jis se woh tauba kar chuka tha, to woh us waqt tak na marega jab tak ke woh us gunaah ko na kar lega.
(Tirmizi: 2505)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

70. Jab aadmi apni biwi ko paani pilaata hai to us par bhi sawaab diya jaata hai.
(Musnade Ahmad: 17155)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

71. Bure akhlaaq amal is tarah kharab kar dete hain, jis tarah sirka shahad ko kharaab kar deta hai.
(Tabraani Kabeer : 10777)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

72. Achchhe akhlaaq gunaahon ke asraat ko is tarah mita dete hain, jis tarah sooraj ki garmi jame huwe shabnam ko pighla deti hai.
(Tabraani Kabeer: 10777)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

73. Jo aurat bila wajah apne shohar se talaaq maange, us par Jannat ki khushbu haraam hai.
(Abu Daaood: 2226)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

74. Jaan boojh kar sood ka ek dirham bhi khaana, 36 martaba zina karne se ziyaada sakht gunaah hai.
(Musnade Ahmad: 21957)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

75. Ek doosre se dushmani na rakho aur ek doosre se hasad na karo.
(Muslim: 6690)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

76. Allah Ta'ala ne kuchh bandon ko logon ki zaroorat poori karne ke liye paida kiya hai, log un ke pass apni zaroorat le kar jaate hain, logon ki zaroorat poori karne waale yeh log Allah ke azaab se mehfooz rahenge.
(Tabraani Kabeer: 13334)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

77. Agar waalidain mein se koi ek ya donon tumhaare pass budhaape ko pahonch jaaein to tum unhein uf tak na kaho aur na unhein jhidko; balke un se izzat ke saath baat karo.
(Sure-e-Bani Israai: 23)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
78. Tum apni aulaad ki tarah apne maatahaton (naukar chaakar) aur yateemon ke saath achchha sulook karo aur jo tum khaate ho un ko bhi khilaao.
(Ibne Maaja: 3691)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

79. Hazrat Ibrahim (a.s) par Allah ne wahi naazil farmaai ke achchhe akhlaaq ka bartaao karo, chaahe kaafiron (gair muslimon) ke saath hi kyun na ho, nek logon ke maqaam (Jannat) mein daakhil ho jaaoge.
(Moajame Ausat: 6506)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

80. Aye Imaan waalo! Apne gharon ke alaawa doosre gharon mein us waqt tak daakhil na ho jab tak ijaazat na le lo aur us mein basne waalon ko salaam na kar lo, yahi tareeqa tumhaare liye behtar hai, ummeed hai ke tum khayaal rakhoge.
(Sura-e-Noor: 27)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
81. Jo dokha de woh ham mein se nahin.
(Tirmizi: 1315)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
82. Allah Ta'ala ke nazdeek sab se bada gunaah yeh hai ke aadmi kisi se kaam le aur us ko us ki mazdoori na de.
(Mustadrak: 2743)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
83. Naap tol mein kami karne waale log qahat saali (baarish ka na hona), pareshaaniyon aur baadshaah ke zulm ke shikaar ho jaate hain.
(Ibne Maaja: 4019)
 
84. Aadmi ka apna bachche ko achchhe akhlaaq sikhaana ek saa (weight) sadqa karne se behtar hai.
(Tirmizi: 1951)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
85. Momin mardon se keh do ke woh apni nigaahein neechi rakhein aur apni sharmgaahon ki hifaazat karein. Yahi un ke liye paakeezah tareen tareeqa hai.
(Sura-e-Noor: 30)
 
86. Aye logo! Allah Ta'ala se daro, aur rozi talaash karne mein neki aur parhezgaari ka tareeqa ikhtiyaar karo aur rozi milne mein kuchh der ho jaana tumhein haraam tareeqa ikhtiyaar karne par majboor na kar de.
(Shoabul Imaan: 10376)
 
87. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne aise logon ki daawat khaane se mana farmaaya hai jo ek doosre par apni shaan oonchi dikhaane ke liye khilaate hain.
(Abu Daaood: 3754)
 
88. Allah Ta'ala pareshaan haal ki madad ko pasand farmaate hain.
(Shoabul Imaan: 7657)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
89. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam peene waali cheezon ko 3 saans mein peete the; is tarah peene se itminaan haasil hota hai, takleef aur beemaari se hifaazat hoti aur woh cheez khoob hazam ho jaati hai.
(Muslim: 5406)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
90. Tum sharaab hargiz mat piyo, is liye ke sharaab tamaam buraaiyon ki jad hai.
(Musnade Ahmad: 22128)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
91. Jis aadmi mein 3 cheezein hongi Allah Ta'ala us ko apni rahmat mein le lenge aur us ko Jannat mein daakhil karenge:

1. Kamzoron ke saath narmi karna,
2. Waalidain ke saath maherbaani karna,
3. Gulaamon (naukar chaakar) ke saath ehsaan karna.
(Tirmizi: 2494)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
92. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam is baat ko pasand nahin farmaate the ke as'haab (saathiyon) ki majlis mein khushbu lagaaye bagair tashreef le jaaein.
(Subulul Huda War Rashaad: 7/337)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
93. Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam jab kisi ke yahaan tashreef le jaate to darwaaze ke saamne khade na hote, balke daaein baaein khade hote aur farmaate:
As salaamu alaikum, As salaamu alaikum
(Abu Daaood: 5186)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
94. Jis ne paani ka kunwaan khudwaaya aur us se kisi pyaase parinde, jin ya insaan ne paani piya, to qayaamat ke din Allah Ta'ala us ko ajr ata farmaayega.
(Sahih Ibne Khuzaima: 1292)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
95. Aye Imaan waalo! Aapas mein ek doosre ke maal naahaq tareeqe se mat khaao, magar jo maal aapas ki razaamandi se ki huwi khareed-o-frokht se haasil ho.
(Sura-e-Nisa: 29)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
96. Jab kisi gunehgaar ki taareef ki jaati hai, to Allah Ta'ala gussa hota hai aur arsh kaanp uthhta hai.
(Shoabul Imaan: 4886)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

97. Tum log qarz lena kam kardo, aazaadi ke saath zindagi guzaaroge.
(Shoabul Imaan: 5557)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 
98. (Qayaamat ke din momin ki) Taraazu mein achchhe akhlaaq se bhaari koi cheez na hogi.
(Abu Daaood: 4799)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

99. Jo bhi bura amal karega, woh us ki saza paayega.
(Sura-e-nisaa: 123)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

100. Jaan boojh kar sood ka ek dirham bhi khaana, 36 martaba zina karne se ziyaada sakht gunaah hai.
(Musnade Ahmad: 21957)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖


Note: Received from whatsapp message. This is received in a broadcast message with compilation by Abdur Rahman. Let Allah accept his work. 

Popular posts from this blog

Rasoolullah's ﷺ Shoes and Leather Socks:

Rasoolullah (ﷺ) wore shoes like sandals or slippers. Rasoolullah (ﷺ) also wore black leather socks and during Wadhu passed his moist hanks over them (made Masah). His shoes had two straps between the toes (Uswah: Mirqaat). There was a strap at the back as well. The Shoes of Rasoolullah (ﷺ) were one span and two fingers long and 7 fingers wide; there was a space of two fingers between the two straps at the toe end (Uswah) Rasoolullah (ﷺ)used to wear shoes made of leather that was smooth after the removal of the animal hair, and after wadhu He would place his feet into them because they were pure and made in such a way that his toes would thouch the ground. (Uswah) Rasoolullah (ﷺ) also wore shoes made of smooth leather. (Mishkaat) Rasoolullah (ﷺ) would would grip his shoes with his left thumb and index finger. (Shamaail Tirmidhi) Hazrat Anas (Radiallahhu’ anhu) narrates that from the sunnah is that one should remove his shoes and place them to the left side when sitting. (Mishkaat) Sourc...

99 direct instructions by Allah in the Quran for mankind:

Some one did this excellent job of highlighting instruction in the Quran May Allah accept it and teach us to follow his teaching as written in the Quran. Almost 100 direct instructions by Allah in the Quran for mankind 1. Do not be rude in speech (3:159) 2. Restrain Anger (3:134) 3. Be good to others (4:36) 4. Do not be arrogant (7:13) 5. Forgive others for their mistakes (7:199) 6. Speak to people mildly (20:44) 7. Lower your voice (31:19) 8. Do not ridicule others (49:11) 9. Be dutiful to parents(17:23) 10. Do not say a word of disrespect to parents (17:23) 11. Do not enter parents’ private room without asking permission (24:58) 12. Write down the debt (2:282) 13. Do not follow anyone blindly (2:170) 14. Grant more time to repay if the debtor is in hard time (2:280) 15. Don’t consume interest (2:275) 16. Do not engage in bribery (2:188) 17. Do not break the promise (2:177) 18. Keep the trust (2:283) 19. Do not mix the truth with falsehood (2:42) 20. J...

Distance learning: Islamic University of Madinah:

🔹The Islamic University of Madinah🔹 By the bounty of Allah the Electronic distance Learning initiative for non Saudis at the Islamic University has been launched.  Two programs have been made available: 1 - Sharee'ah Bachelors Program 2 - Arabic language program for non native speakers To register for the Sharee'ah Bachelors Program from any corner of the world:  http://islamicuniversity.online/index Remember that by sharing this message you might share the reward of a student of knowledge throughout his studies and the reward of the knowledge he conveyes to others! Arabic: https://islamicuniversity.online/faq_ar Source: The information is received through WhatsApp message.

Study Report on: Condition of Muslim Entrepreneurs in India:

 - - Earlier it was being reported that Indian Muslims are increasingly getting into self-employment, and it is important to study the conditions of Muslim Entrepreneurs in India. - This study is funded by Azim Premji Foundation, the study is done by ABRAR ALI SAIYED, Assistant Professor of Entrepreneurship and Management, Özyeğin University of Turkey. - The Kundu committee found that there were 49% of Muslim Households in Rural areas and 50% of Muslim Households in Urban areas who were self-employed. - The respondents were willing to adapt to Islamic Banking if they are informed properly and have a better customer experience. - Most Muslim entrepreneurs were doing business informally and they were afraid of getting important documents for the business. Read the full report at the below link: Click to open the report: Source: The report is received through whatsapp, we have organised the file in our blog by giving an external link. 

May this Eid be a time for spiritual renewal, strengthened bonds:

 ##  Eid Mubarak: A Time for Reflection, Commitment, Sacrifice, and Humility Eid al-Fitr, a joyous celebration marking the end of Ramadan, is more than just exchanging gifts and feasting with family. It's a culmination of a month dedicated to self-improvement, a chance to reflect on the past, recommit to our values, and carry the lessons learned into the future.  1.  **Reflection: A Look Back on Ramadan** Eid is a time to appreciate the sacrifices made during Ramadan. We fasted, prayed, and practiced charity, all while confronting our weaknesses and strengthening our connection with Almighty. During Eid celebrations, let's take a moment to reflect on this journey. What did we learn about ourselves? How can we maintain the spiritual momentum gained in Ramadan? 2. **Commitment: Renewing Our Vows** Eid is a powerful reminder of the importance of commitment. We committed to fasting and prayer during Ramadan, and now we recommit to living a life guided by Islamic princip...

The 40 Acts of Paradise:

 * Abdallah Bin ‘Amr Bin ‘Āsؓ  said that he heard the Messenger of Allah ﷺ say, “There are forty acts, the best of which is giving food, if any are done seeking their reward and believing in their promise, Allah will grant them Paradise by this act.” (Bukhari). Shaykh ‘Abdullah Bin Siddīq al-Ghumārī (d. 1993) wrote a small book enumerating these forty acts : 1. Feeding people in need and without remuneration 2. Removing a harmful object from the road 3. Feeding and watering animals 4. Visiting the sick 5. Befriending and visiting someone only for the sake of God 6. Belief in God and the Final Hour 7. Giving when you have little 8. Enjoying the good and forbidding the evil 9. Helping those with disabilities 10. Heling the misfortunate 11. Returning a salam greeting 12. Responding with blessings to the one who sneezes 13. Responding to an invitation 14. Following a funeral procession 15. Beginning a salam greeting 16. Giving sound advice 17. Removing harm from the mosque 18. Smi...

Its Hajj time: Remembering the meaning of sacrifice and sincerity:

*Peace be upon Prophet Ibraheem* Allah ordered him to take his family to a barren desert which had no inhabitants, no food, no water, and no means of provision. He didn't doubt or ponder. He obeyed. Allah ordered him to leave his wife and baby child in the blazing heat. He didn't think or doubt. He obeyed. Later on, Allāh instructed to sacrificed his child. He obeyed. You know the only thing Prophet Ibrahim's wife asked, "Was it Allah who ordered you to do this?" - That's it, she did not look at the pleasure of the world. She looked at the pleasure of Allah. She clutched onto her newborn whilst staring at an empty desert and it only increased her in conviction. You know how beloved her action was to Allah? thousands of years later, people give up everything to go to Makkah in order to imitate her and to quench their thirsts with Zam Zam - and they will be doing this until the last day. You know how accepted Sayyiduna Ibrahim's act of sincerity was? Peopl...

Have you made your list of Duas to ask Allah (swt)?

-  Have you made your list of Duas to ask Allah (swt)?  Here are some you can include in your list, In-sha'-Allah: 1. Ya Allah grant me Ultimate Success - safety from the Fire and entry into Jannatul Firdous 2. Ya Allah make me and my family of those companions of the Right. Who receive the book of deeds in our right hands. 3. Ya Allah, Grant me a blessed death. Let me utter the shahada before I die. Grant me the intercession of Prophet Mohammed(pbuh). 4. Ya Allah grant me the companionship of Prophet Mohammed (pbuh), his family and the Sahaba's in Jannatul Firdous. 5. Ya Allah save my non-Muslim friends from the Fire. Guide them to Islam. 6. Ya Allah, reunite me in Jannathul Firdous with those whom I love for Your sake alone. 7. Ya Rabb, perfect my Deen and my Worship. 8. Ya Allah accept my good deeds and increase me in reward and Your Mercy. Wipe away my sins and pardon me completely. Shower your Mercy upon me and save me from disgrace on the Day of Reckoning. 9. Ya Allah, w...

Allah will test us to show the true among us and what we are made of:

 - STORY 22 - Uncle Mohammad    Uncle Mohammad was a taxi driver in Makkah; he lived in an area called al-Jomoom about 20 miles outside the city limits. He was a hard-working man with a big family to support. He had always dreamt of being rich, not only so he could take better care of his family, but as he often expressed, to fulfil his desire to donate large sums for the sake of Allah.   One day, he said to his friend, “ You know what? I need to stop waiting to be rich to give more for Allah. I am starting this week.” The friend asked, "What will you do?"   Uncle Mohammad already had a plan, and his plan was simple. He decided to assign one day a month for the sake of Allah. He would not charge passengers any money that day. All rides would be free for the sake of Allah.  The taxi driver was struggling with all the expenses related to his taxi license, taxes, home expenses, etc. The taxi business was already suffering. It was not like it used to be in Makk...