Ilm insaan ki aisi zarurat hai jaise, roti kapda or makaan, magar jab ye roti kapde or makaan pane ke wahid maqsad se hasil kiya jaata hai to iske wo nataej nikalte hain jiska ham rozana mushahida kar rahe hain..
Maqasid ke lihaz se ilm hasil karne ke 3 marhale hain.
1. ilm ki roshni se insaan pehle khud apne aap ko jaane.
2. Apne paida karne wale or puri kainaat Ko paida karne wale ko pehchane.
3. kainaat ki un taaqaton ko daryaft kare jo khaliqe kaiynaat ne insano ke faide or sahulat ke liye paida ki hain..taake khuda Ko raazi karne ki niyat se us ke bando ki dushwaryan duur ki ja sake.
Allama iqbaal r.a ne hasan nizami ko khat likha, jis me kaha tha: ilm se meri murad wo ilm hai jis ka madar hawase khamsa (5 organs) pe hai ,wo kehte hain aam tor par mai ne lafze ilm isi maane me use kiya hai ,uski wajah ye batate hai ke, is ilm se ek tabee [physical] quwwat haat aati hai jis ko deen ke matahat rehna chahiye agar deen ke matahat na rahe to ye taqat mahaz shaitanat hai.
Source: Recieved in Whatsaap group from educationist and Maulana Sadiq Pune.