Rasoolullah's ﷺ ki *Hayaat-e-Tayyiba* maloom karne ke liye aap ko *Total 12.4 Hours ka audio sunna hoga jo 22 files mein record kiya gaya-
*Assalamualaikum WR WB,*
Buzrugo aur Dosto,
Wabai Bimaari, Balaa wo Museebat ke waqt mein Hamare Akabir ka Ma’mool tha ke Hazrat Aqdas Rasoolullah SAW ki Hayat-e-Tayyiba yaa Hadees ki kitaabaon ka Dars Karte the. Is Amal ki Barkat yeh hai ke Aap SAW ka zikr bhi bimariyoun aur museebataun ko dur karta hai.
Hazrat Maulana Ashraf Ali Thanvi Sb RA ki kitaab *Nashrut Teeb Fee Zikrin Nabiyyil Habeeb Sallalahu Alaihi Wa Sallam* mein yeh baat Likhi Hui hai.
Alhamdulillah, is lockdown ke duration mein hamare akaabir ke Amal ke mutabiq Rozana *Hazrat Sufi Iqbal Sb RA Khalifa Hazrat Shaikhul Hadees Maulana Zakariyya Sb RA* ki Kitab *Al-Uturul Majmuah* jo *Nashrut Teeb Fee Zikrin Nabiyyil Habeeb Sallahu Alaihi Wa Sallam* ki Asaan zuban mein Tashreeh hai padha Gaya aur record kiya Gaya.
Ab *Audio Book* bana kar YouTube par upload kar diya Gaya hai.
*Guzarish hai ke aap log puri kitab rozana kuch Waqt nikaal kar suniye.*
*Rasoolullah SAW ki Hayaat-e-Tayyiba* maloom karne ke liye aap ko *Total 12.4 Hours ka audio sunna hoga jo 22 files mein record kiya gaya. Daily agar 20 minutes bhi faarigh Karenge to InshaAllah Maximum 45 Days mein kitaab hojaygi aur AAP SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM se Mohabbat mein Zaroor izaafa hoga InshaAllah* Aakhirat ka bhi buhat faiyda hoga.
Allah is mehnat ko qubool Farmaye aur Ikhlas ata Farmaye
Aameen
*Is Channel 👇 ko Subscribe kariye aur dusre dost wo ahbab mein share kariye.*
or
Copy the below link to browser:
https://www.youtube.com/playlist?list=PL6VLfbIYwBGlJl69bAuF3Dq3geBa37nUL&feature=share
*Jazakallah
Source:
Received through whatsapp message